/* remove this */ Blogger Widgets /* remove this */

Monday, May 7, 2012

UPTET : टीईटी के आधार पर शिक्षकों की नियुक्ति करे सरकार


UPTET : टीईटी के आधार पर शिक्षकों की नियुक्ति करे सरकार


देवरिया: प्रदेश सरकार टीईटी अभ्यर्थियों के साथ लुका-छिपी का खेल, खेल रही है। कभी हमें आश्वासन देती है तो कभी विज्ञान प्रक्रिया रद्द करने की बात करती है। सरकार जब तक टीईटी में प्राप्त अंकों के आधार पर शिक्षकों की भर्ती नहीं करती, यह आंदोलन जारी रहेगा।

यह बातें टीईटी संघर्ष मोर्चा के जिलाध्यक्ष चन्द्र प्रकाश कुशवाहा ने कही। वह रविवार को टाउन हाल परिसर में मोर्चा की बैठक को संबोधित कर रहे थे। बैठक का संचालन करते हुए संदीप कुशवाहा ने कहा कि हम सरकार से अपना हक लेकर रहेंगे। चाहे इसके लिए भले ही लंबी लड़ाई क्यों न लड़नी पड़े।

बैठक को संबोधित करते हुए संरक्षक रघुवंश शुक्ला ने जनता दरबार में मुख्यमंत्री के साथ अभ्यर्थियों के साथ हुई वार्ता से अवगत कराया। साथ ही उन्हें लड़ाई के लिए तैयार रहने को कहा।

इस अवसर पर प्रमुख रूप से हरेंद्र पुरी, आत्म प्रकाश मिश्र, जय प्रकाश यादव, प्रज्ञानंद, ईश्वर प्रसाद, जंमेजय सिंह, दीपक सिंह, गौरीशंकर पाठक, अनुराग मल्ल, श्रीनिवास कुशवाहा, राकेश कुमार, मनोज कुमार, मदन यादव, रामानंद कुशवाहा तथा राजेश मणि आदि मौजूद थे।


News : Jagran (6.5.12)
******************

टीईटी बेरोजगारों ने लगाया उत्पीड़न का आरोप

मिर्जापुर (ब्यूरो)। टीईटी उर्त्तीण छात्रों की बैठक रविवार को नगर के बरियाघाट स्थित रामटेक मंदिर में हुई। बैठक में निर्णय लिया गया कि सरकार के मुख्य सचिव ने जो रिर्पोट तैयार किया है वह मुख्यमंत्री के आश्वासन के अनुरूप नहीं है, जबकि मुख्यमंत्री ने कहा था कि टीईटी बेरोजगारों के साथ न्याय होगा और टीईटी निरस्त नहीं होगा। शिक्षकों की भर्ती टीईटी मेरिट के अनुसार होगी। किंतु ऐसा नही होने से टीईटी बेरोजगारोें का मानसिक उत्पीड़न हो रहा है। जिसके कारण आगामी 13 मई को प्रदेशव्यापी आंदोलन करेगें। बैठक में जिलाध्यक्ष राहुल, महामंत्री सत्यानंद, नागेंद्र विश्वकर्मा, दिनेश सिंह, अफजल, रिंकू, आनंद मोहन, सोहन आदि मौजूद रहे।


News : Amar Ujala (7.5.12)
***************************

जब प्रक्रिया एक बार निर्धारित हो जाती है तो उसे बदलना बेहद मुश्किल होता है |
कुछ अभ्यर्थी सोच रहे हैं कि धांधली के आधार पर टीईटी पात्रता परीक्षा हो जायगी , ये बहुत ही  कठिन  है 
या  तो प्रकिया  पूर्ण   रूप  से निरस्त   होगी  या  पूर्व  निर्धारित प्रक्रिया से  ही भर्ती   होगी  कि बीच  का  रास्ता  बहुत ही  कठिन   है 

हालाँकि  नयी  भर्ती में प्रक्रिया में बदलाव उतनी  मुश्किल पैदा  नहीं  करेगा  , जबकि  इस  भर्ती  प्रक्रिया में  बदलाव नामुमकिन  है 
अगर  कोई  बदलव  होता भी  है तो टी ई टी मेरिट होल्डर  लोग  न्यायिक  प्रक्रिया के दोरान  विजयी  होंगे  

62 comments:

  1. dabav jaroori hai jisase sarakar kewal hamare bare soche aur jaha se prakriya ruki hai wahi ke aage bharati suroo ho .............
    ratnesh_rbj.sonebhadra@9889337997

    ReplyDelete
  2. mere samajh me ye nahi aa raha hai ki sarakar apana kirkiri kyo kara rahi hai......

    ReplyDelete
  3. shyam dev mishra ji
    aap kuchh comment nahi kar rahe hai aap aaj kuchh aapane mat jaroor de
    ratnesh_rbj.sonebhadra

    ReplyDelete
  4. jitana andolan ugra hoga sambhavanaye utani jaldi hongi
    tet merit jai
    ratnesh

    ReplyDelete
  5. अब तो लगता है ना ये सरकार ही भर्ती
    करना चाहती है ना पिछली सरकार ही
    करना चाहती थी
    और जब भर्ती करने वाला ही इसका वीरोधी हो हम करही क्या सकते हैं

    ReplyDelete
  6. अब तो केवल आशवाशन ही मिलने वाला
    है क्यों कि अभी सरकार को हमसे कोई
    काम नही है
    और सरकार को जब गमारी जरुरत पडेगी
    तो फिरसे हमे ख्वाब दिखाए जाएँगे

    ReplyDelete
  7. muskan ji
    kyo logo ko gumarah kar rahi hai. yadi aap ki baat saty hai to aap khud hi bataye ki kya btc2004 k process me change nahi kiya gaya tha yadi kiya gaya tha to wo kase. abhi haal hi me KVS ne vigyapan ki sarto ko avoid karate huai kaise cut-off jari kiya.
    shayad aap bhool rahi hai ki hc ne phichhe ek tet vs acd ka nirday dete samay kaha tha ki poorv me nirdharit selection base tab tak change nahi kiya ja sakata jab tak usme dhadhali ka ka proof na ho.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yadav ji exam ke time agar padhai thodi si kar liye hote toh aj aise insan ka support nahi karte jo apna name tak chhupa k rakha hai...
      Padhai kijiye july me fir se TET Ka exam hai..chaliye ek baar kam marks agaye toh kya hua next time achche marks ajayenge...aise khud ko bhulave me mat rakhiye nahi toh july wala b exam me kam marks ayenge...
      All the best for ur next TET exam

      Delete
  8. dosto ...sarkari school me apne bache ko bhejta kon h..jo sarkari teachar ki jarurt hogi

    ReplyDelete
  9. Agar ye bharti nahi hui to akhilesh ka bhi wahi haal hoga jo mayawati ka hua mayawati ka bura time shuru ho chuka hai jago akhilesh

    ReplyDelete
  10. Bhaiyo
    ab sarkar ke aage rone ki kon si tarik nischit ki gayi hai hame bhi bata do sab mil baith kar raye ge

    ReplyDelete
  11. Bhiyo yadi bharti pirkirya jari hote hai to meri bhi shadi laldi ho jati nahi to pata nahi abhi kab tak kunwara rahana parega

    ReplyDelete
  12. ab to govt ki sarto me hi hum apni kuch sart add kara sakte hai,
    hum jaisa chahe us hisab se bharti nai hogi.

    ReplyDelete
  13. Unknown ji yahi toh muskan ji bhi kah rahi hai poorv me nirdharit selection base tab tak change nahi ho sakta jab tak usme kuch gadbadi na aye...chuki accademic chayan me itni jyda matra me dhandhli huyi thi ki sarkar ko prakriya change karni padi...aur TET ke adhar par abhi tak selection hua bhi nahi toh ye kaise change ho sakta hai...aur ye jo unknown ban ke kya baat karte ho...apna name likha karo yaar agarkhud ki baat pe itna bharosa hai...TET me marks nahi la paye toh itni chhat patahat kis baat ki hai..kya sochte tumhe naukari mil jayegi?tumhare jaise log kisi naukari ke layak nahi ho sakte...class 5th ka paper solve nahi kaar sake aur aaye ho kanoon batane...kaha kaha kaun se naukari me apni high school ki markshhet lekar ghumoge...
    Aur ye ham koi sipahi ya 4th grade ke karmchari nahi hai ki sarkar hame chutiya bana degi...itana asan hota na toh tumhare akhilesh bhaiya kab ka nirast kar dete...
    Ye jaan lo kaan khol ke sunn ye naukari toh inke baap bhi denge..agar khud nahi diye tohh yahai HC ko inko aadesha dega naukari dene ko...ghar ghar dhoodenge TET walo ko...aur ye jitne log academic ka sapna dekh rahe hai wo agale vacany ka chup chap wait kare...ye vacancy sarkar raad kar b degi toh uski halak se khich k nikal layenge wapas....
    Toh ap jaise saikdo unknow logo se anurodh hai ki apna name jaise chhupa ke rakhe ho khud ko b kahi chhupa lo..
    Shanti se padhai kar k marks laa sakte hai toh anyay ke virudh awaj uthane k liye ham hathiyar b utha sakte hai..
    Aur jo log accademic accdmic chilla rahe hai wo ek kaam karo jakar class 5th ki maths aur hindi ki book market se lele aur abhi se padhna shuru kar de...kyuki agar sarkar unke sapno ko pura nahi ki aur shayad high court TET ke adhar pe chayan par apna mohar laga diya toh kam se kam 5 saal yeahi niyam lagu rahega...toh ap logo k liye achcha hoga ki padhai pe dhyan de aur bina sar pair ki baato pe apana samay nasht na kare...
    Sach bolu mujhe samjh me nahi aata ki inlogo ko thoda bhi sharm nahi aati aise ujul fujul baate karane me...

    ReplyDelete
  14. Muddai lakh bura chahe to kya hota hai wahi hota hai jo manzoore khuda hota hai

    ReplyDelete
  15. @unknow ji
    muskan logo ko gumraha kar rahi hai or sarkar tetions ko gundo ki raha par bhej rahi hai

    ReplyDelete
  16. kuch log ye kah rahe hai k kai rajyo me tet ko 10% se 50% tak waitege diya gaya hai,main un se puchna cahunga k kya waha acd ko bilkul nazar andaj kiya gaya hai jaisa UP me kiya ja raha hai.aap log UP me bi kyo nai acd +tet waitage pe man jate hai.

    ReplyDelete
  17. Koi sp ka khas sp se kahe ki vah 224 seat ka guman n kare aur aukat me rahe kyoki esse pahle maya bhi 206 seat payi thi aur guman me rahi aur ab vo khud apne ko party se hi bachane me lagi hai,aap log to jante hi hai ki samay kisi ka mohtaz nahi hota aur vaise bhi ladai to 2014 me hi hai.

    ReplyDelete
  18. Muddai lakh bura chahe to kya hota hai wahi hota hai jo manzure khuda hota hai

    ReplyDelete
  19. Paraksh ji yaha manane na manane ka sawal uthata hi nahi...bas sidhi si baat hai jo vigyapan pahale nikala tha usko pura kijiye usme agar selection ka base change kiya gaya toh pura vigyapan nirast ho jayega aur fir ye sarkar election ke time naya vigyap layegi...pahale wale vigyapan me bina kisi chages ke ye bharti kare..fir uske baad ye claas 5 ki merit banaye ya class 8th ki inki marji...lekin jo vigyapn nikal chuka hai jisme hamlogo ki taraf se sab kuch kiya ja chuka hai usko nirast karne ka koi base nahi hai...isliye hamlog nahi maan rahe hai koi baat....

    ReplyDelete
  20. are noman bhai,
    Ab ye muddai koun hai sala,
    Ye kaha se aa gaya beech me,
    Abhi tak to mai sairf tet aur sp ko jantta tha lekin ye muddai,
    Samajh nahi aya ye hai koun ,

    Muujhe lagta hai third party hai?
    Yaar bata bhi do.

    ReplyDelete
  21. pradesh byapi bade ustar ka andolan karana padega.............

    ReplyDelete
  22. oh ho!
    To third party ka mudda hi muddai hai,
    Bilkul sahi kaha
    Noman bhai aaj bhai aapne,

    sasura third party - third party ka mudda ,

    Aaj aapne muddai ke dwara bata diya.

    ReplyDelete
  23. are Ratnesh bhai,

    Jis muh se aap ya hum bolte hai,
    Sayad usi muh se bolte ho,

    waise ye bhi ho sakta hai ki,

    acd. Walo ka muh kahi.............

    ReplyDelete
  24. TET JANKARO SE SAWDHAN KAYO KI YE KEWAL TET PASS HAI BAKI DGREE INKE PASS NAHI HAI. ACD JINDABAD

    ReplyDelete
  25. TET JANKARO SE SAWDHAN KAYO KI YE KEWAL TET PASS HAI BAKI DGREE INKE PASS NAHI HAI. ACD JINDABAD

    ReplyDelete
  26. Ashish ji ab aapki tabiyat kaisi hai ?aage aapne mere dwara unknown ko support karne ka galat arth nikala khair jankari ke liye aapko bata dena chahta hun ki mere tet me 118 marks/obc/male/science hai aur yadi aap acd ka bhi puchhege to vah bhi mai bata dunga.

    ReplyDelete
  27. bilkul maya apne maya me hi fas chuki hai,

    Ye hai hum tetians ki baddua.

    Ab akhilesh ki baari hai.

    Sadega, mote - mote keede padenge,

    Lekin durdasha to pakki hai.

    ReplyDelete
  28. y.k ji
    Aap kyo idhar udhar ke chakkar me pade hai,
    Koi nahi hai takkar me,

    So tet is our right to get job.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Chalo bhai tiwari ji jaldi se koi achchha sa suggetion dijiye jisse ham es majhdhar se nikal jaye.

      Delete
  29. Ham sabhi ko accademic ya TET ke bahas me nahi padna chahiye sirf hamara ek lakshya ho ki ye vacancy sarkar jaldi se jaldi puri kare...jab form submit ho chuka hai toh iska base change kar hi nahi sakte ye...
    Bas ye vacancy ko nirast hone se bachana hai...jinke kam marks aaye hai TET me unke b chance hai ki ye bharti me shamil ho jayenge aur agar vigyapan hi nirast ho gaya toh unko b kuch nahi milega...

    ReplyDelete
  30. are jai bhai

    Veeru aur basanti ko kaha chchod aye aap,
    Bhaiya ka unka sath chchod diye,
    Ya unhone tumhari harkato se tang aa ker tumhe chchod diya,

    ReplyDelete
  31. ashish bikul sahi jawab diya in nakalchiyon ko...great

    ReplyDelete
  32. ve raju pyar na kariiyo,
    Dariyo dil toot jata hai.

    ReplyDelete
  33. ashsih bhai aapne apni tabiyat ke baare me kuchch nahi bataya , ab aap kaise hai,
    Abhi hospital me hai ya, ghar aa gaye.

    Baki acd. Ki chinta na kare ,
    Hume apne kam ko anjaam bhi to dena hai,
    Pahle aap swashth ho jaye fir apna dhyan sirf apne maksad pe ,

    Fir in avd. Se baate karenge ,
    Ki bol sach koun tha.

    ReplyDelete
  34. Tiwar ji paresan na ho aanewala 15 ko sab clear ho jagae ga ki . Jayad mat paresan raho & sawdhan raho in TET KE JANKARO SE. ACD JINDABAD

    ReplyDelete
  35. bhai mere comment se koi naraj naa hona,
    Aaj maine blog pe ashsish bhai ko dekha to,
    Mai itna khush hua ki kya batau.
    Isi liye thoda majak ker sab ko khush dekhna chah raha tha.
    Good night.

    ReplyDelete
  36. bhai thoda basanti air veeeru wali baat bata do,
    Na ab sarma kyo rahe ho,

    ReplyDelete
  37. @Ashish Sriwastaw
    abe saalo tum log samajhate ho ki kewal tum logo k hi tet marks 110+ hai aur jo bhi acd ki k paksh me kuch bola to tumsab ki nigah me wo nakalachi hai.agar mai tumsab ko apane tet marks batauga to tumalogo ko viswas nahi hoga isliye roll no. 14005386 cheak kar lo rahi baat name display karane ki to name kaise display kaise hoga mujhe nahi malum nahi to tum saalo ka karj nahi liya hu jo tum sab se darata hu.

    ReplyDelete
  38. jab 10 ghodo(tetians) ke beech me 1 gadha(acd.) ho , to group ko gadhe ka nahi balki ghode ka group kahenge ,

    To friends ab ghode ki tarah hame chchalang laganu hi padegi taki gadhe peeche rah jaye.

    ReplyDelete
  39. @anand Tiwary ji...hahahahaha
    Achcha laga ap ne mere baare me itna socha...ab meri tabiyat thik hai..mai aj hi ghar pahuch gaya tha...ab ki baar finnal ladayi ladne ka mood bana liya hai....
    Again thanks

    ReplyDelete
  40. @unknown ji itna aaga babula kyu ho gaye gaali galuj pe agaye...kyu itni mirch lag gayi...?agar ap ke achche marks hai toh shayad apko naukari karne ka mann nahi hai ya shayad 2014 ke baad ap joining chahte hai...agar ap aram karne ka mood bana liye hai toh ham jaise garibb logo ko naukari karne de...aur ap kripa kar ke mera last comment jarur padhe kyu TET meri jaruri hai...kyuki agar job chahiye toh ye vacancy bachana jaruri hai...aur ye vacany me selection ka base nahi badla ja sakta...kyuki bahut der ho chuki hai...aur ye sala word bacha ke rakhiye kisi aur k kaam ayega..yaha sirf mudde ki baat kare wo b bina apshabdo ke....

    ReplyDelete
  41. Good night friends kal milte hai ek nayi subah ke sath.

    ReplyDelete
  42. @ v.k. yadav ji ab meri tabiyat pahale se kaafi behtar hai ap logo ki yaad ayi toh blog pe agaya...
    V.k. ji ap se mai pahale hath jod ke maafi chahta hun...sorry maine gusse me jyda bol diya...
    Ap achchha hame ek baat ka sirf jawab de dijiye chaliye maan lete hai ap unknown ji aur baaki sabhi jo accedmic ke samarthak hai wo sahi hai...lekin kya iss vigyapti se selection ka base change kar ke bharti ki ja sakti hai?aur kya ek baar ye bharti radd ho jane par hame turant job mil jayegi?kam se kam 3 4 saal hame wait karna pad jayega...mayawati ne b vacancy tab laya jab election aane wale thhe toh kya akhilesh babu ham logo ko tuarant job dedenge?ye akhilesh B.ed walo se jyda shiksha mitro pe dhyan de rha hai...ham sabhi B.ed berojgar bhukhe mar jayenge...
    Bas issiliye mujhe gussa aya ki log ye kyu nahi samhte ki hame kisi halat me ye vigyapti bachana hai...sarka bas kisi tarah bahane dhud k ye vacancy radd karna chahati hai...aur ap jaise samjh dar log accedmic ki baat kar ke unke mansoobo ko safal bana rahe hai...thoda sa dimag lagayiye aur sochiye kya mai galat kah rha hun...
    Aur apko hurt karne ka mujhe sach me bahut afsos hai..
    I am really sorry

    ReplyDelete

  43. @Unknown ji -
    Aap ne kaha
    muskan ji
    kyo logo ko gumarah kar rahi hai. yadi aap ki baat saty hai to aap khud hi bataye ki kya btc2004 k process me change nahi kiya gaya tha yadi kiya gaya tha to wo kase. abhi haal hi me KVS ne vigyapan ki sarto ko avoid karate huai kaise cut-off jari kiya.
    shayad aap bhool rahi hai ki hc ne phichhe ek tet vs acd ka nirday dete samay kaha tha ki poorv me nirdharit selection base tab tak change nahi kiya ja sakata jab tak usme dhadhali ka ka proof na ho.


    *************
    Mein Aapko batana Chahte hoon ki HC ne kaha tha - Ki Game Shuru Ho Jane ke Baad Rule badle jana aur kisee ek ka paksh lena galat hai
    ***********
    Ab Saare TET candidates (2.7 lakh) to shayd hee Exam mein doshee honge,

    Aur ve agar Court Jate hain, To kya Court unke Paksh mein Nirnay nahin degaa
    ********
    Iseeliye jo fact the Mene vahee likha,

    Meree Acad. se koee Dushmani nahin hai, Aur Acad. se bhartee hotee hai to mujhe jaroor fayda hai (God Promise)

    ReplyDelete
  44. sare acd wale dhyan se padna.abhi sampurnanand ki h.s.aur inter ka exam chal raha hai .agar dekhna hai ki exam ki dhajiya kaise udai jati hai to jakar dekh lo.sabhi exam dene wale bina book aur gide ke nahi hai.agar eish exam ke adhar par acd ka suport kar rahe ho to sarm ani chaheye.es ke baad shartri yani ki b.a. Ki suru hone wali hai usme bhi jakar dekh lena ki exam ki dhajiya kase udai jati hai

    ReplyDelete

  45. Agar Dhndlee Proove Ho jaygee aur us Dandhlee ko Alag Karna Mushkil Hoga To Saree Bhartee Khatre Mein Pad jaygee.

    Beech Mein Rule Badalne Se Dhandhlee Khatm Ho Jaygee Kya ?

    Ya to TET poora cancel hoga ya poora bachega.
    **************
    Aap Solution Batayen ?

    Kay TET fail vale log nahin kahenge kee Dhandlee Huee to isko Nirast karo,
    Isko Patrta Pariksha Mein badalne se kya fayda

    ReplyDelete
  46. Hum bhi yahi chahte hain ki Vidhan Sabha ke samne hum sab ko ab baith jana chahiye chupchap.aur jab tak bharti shuru hone ka sashnadesh na jari ho tab tak vahan se na koi uthe na kisi se milne jaye fir chahen sarkar lathi chalaye ya dande.chahe to jail me bhar de ya goli mar de.
    vaise bhi berojgari se zingee bhar marne se achcha hai ki sarkar ki goli se hi mar jayen.
    kam se kam aage hamare pariwar doston aur wellwisher ko yeh samajh me to aayega ki voh vote kise de rahe hain.
    Sarkar to ab hamare bhaiyon sahit hamari bhi jan lena chahti hai.
    wah! re India
    wah! re U.P
    Akhilesh ji aap Yuwa ho apane yuwa bhaiyon ko kyon Tadpa rahe ho aap?
    plz hamen hamara haq de do.

    ReplyDelete
  47. Well wishes for Asish Srivastava.

    get well soon and come forward for join TET campaign.

    ReplyDelete
  48. MANJIL MIL JAYEGI EK DIN BHATAKTE HE SAHI,

    GUMRAAH TO WO LOG HAI JO GHAR SE NIKLE HE NAHI ....

    ReplyDelete
  49. amit shukla is right.hame shantipurwak bidhan sabha ke samne baith jana chahiye tab tak jab tak mattor solve na ho jaye.

    ReplyDelete
  50. Agra TET ke base per bharti bani to only 10 % Gen. candidates select honge. kyonki OBC/SC ki merit high hai vo Gen. kote ki seat cover kar lenge....... isliye merit Graduation + B.Ed. + TET base per banna chahiye.

    ReplyDelete
  51. Agra TET ke base per bharti hui to only 10 % Gen. candidates select honge. kyonki OBC/SC ki merit high hai vo Gen. kote ki seat cover kar lenge....... isliye merit Graduation + B.Ed. + TET base per banna chahiye.

    ReplyDelete
  52. ye ladai tet vs acadamic nahi hai balki sarkari brastachar ke kilaf hai,un netao ki kilaf hai jo paise lotne me garib berojgaro ko bhi nahi chodte,AUR YE SAPA GOVT KYA BEROJGARO KO BHATTA HAMARE AAVEDAN SE JAMA PAISO SE DENA CHATI HAI,AGLI KIST KE LIYE NAYI BHARTI PRIKRIYA KI BAAT KAR RAHE HAI

    ReplyDelete
  53. BHAI AKILESH JI NE KHA THA 7 DIN ME NIRNAY LE LIYA JAYEGA 7 DIN TO PURE HO GAYE NIRNAY LE NAHI PAYE YA GINTI SAHI SE NAHI AATI

    ReplyDelete
  54. ADITOR MAHODAY DHANDLI KEWAL UNHI CANDIDATES NE KARWAI HAI JO YA TO FAIL THE YA JINKE NUMBER KAM THE AUR FAIL CANDIDATES KO ADALAT NE BHI PURA MOKA DIYA APNI COPY RECHEK KARANE KA AUR AAPATI DARGE KARNE KA TO UNKE VIRODH KA TO KOI MATLAB HI NAHI HAI ADHIKAR TO PASS CANDIDATES KA MARA GAYA HAI JISNE MEHNAT SE MARKS MARKS LIYE IN FAIL HONE WALO NE PAISE DEKAR UNSE JYADA MARKS HASIL KAR LIYE

    ReplyDelete

Please do not use abusive/gali comment to hurt anybody OR to any authority. You can use moderated way to express your openion/anger. Express your views Intelligenly, So that Other can take it Seriously.
कृपया ध्यान रखें: अपनी राय देते समय अभद्र शब्द या भाषा का प्रयोग न करें। अभद्र शब्दों या भाषा का इस्तेमाल आपको इस साइट पर राय देने से प्रतिबंधित किए जाने का कारण बन सकता है। टिप्पणी लेखक का व्यक्तिगत विचार है और इसका संपादकीय नीति से कोई संबंध नहीं है। प्रासंगिक टिप्पणियां प्रकाशित की जाएंगी।