AGAR AAP LOGO NE MERE BLOG PAR STATISTICAL AANKDE DEKHE HOTE TO AAP KO SAHEE ANUMAAN LAGTA,
HO SAKTA HAI KI KAHIN KUCH DHANDHLEE HO,
LEKIN HAMARE BLOG PAR STATISTICAL AANKDE , 90 SE 150 KE BEECH 60 HAZAR LOGO ( JAISA KEE LOG HINDUSTAN PAPER MERRUT KE SANSKARAN KEE KHABAR BATATE RAHE HAIN) KE PASS HONE SE MEL NAHIN KHAATE.
KAFEE SAMAY HO GAYA, KAYEE LOG BTC BHRTEE MEIN CHALE GAYE, KAYEE LOG BHRTEE BAHAR HO GAYE, KUCH LOGON KEE KAHIN AUR NOKREE LAG GAYEE HOGEE.
USKE BAAD MERIT MEIN KUCH KAMEE TO AANEE CHAHIYE THEE
LEKIN KAFEE LOGO KO NIRASHA HAATH LAGEE HAI,
BHRTEE MEIN PARDARSHITAA HONEE JARUREEE HAI, KAYEE LOG SOCIAL MEDIA PAR PRT BHRTEE MEIN CHYANIT LOGO KE NAAM, TET ROLL NO,, MARKS, QUALIFICATION DETAILS AADI DISTRICT NIC WEBSITE PAR DAALE JANE KO KEH RAHE HAIN,
SHAYAD KUCH BHALA HO
BAHUT SAARE LOGO KEE SANKHYA ( BTC BHRTEE AADI, 2012 APATR AADI, B P ED AADI) KAM HONE SE TET MERIT KEE GIRAVAT MEIN ASHANKA THEE, TO KUCH LOGO DWARA KAHEE GAYEE BAAT SAHEE BHEE HO SAKTEE HAI.
AAGE DEKHTE HAIN KYA HOTA HAI
BAHUT SAARE TET NETA KAM TET MARKS KE CHALTE BHRTEE NA HO PAANE SE DUKHEE BETHE HAIN, AUR PALA BADAL RAHE HAIN
INME SE KAYEE LOGO KO UMMEED THEE KEE TET MERIT 100 MARKS TAK JAA SAKTEE HAI, AUR AB BHRTEE NA HONE SE MAYOOS HAIN.
AB SIRF 22% PAD BACHE HAIN, JINME SE SHIKSHA MITRON KE HEE LAGBHAG 9% PAD KHALEE REHNE KEE ASAHANKA JATAYEE JAA RAHEE HAI , MATLAB = 22-9 = 13% PAD,
FREEDOM FIGHTER KA KOTA BHEE BACHA RAHA HOGA, AUR ISMEN SE ST (SCHEDULED TRIBE) KA, AUR ANYA SPECIAL RESERVED , RESERVED CAT ( FEMALE SC, AADI) KA KOTA BHEE MINUS KARENGE TO LAGTA HAI, AB GINEE CHUNEE SEATS HEE BACHEE HONGEE.
ISLEEYE LOGO KEE UMMEED BHEE DHUMIL HOTEE JAA RAHEE HAI
Jinka ho gaya h wo kyu itna swarthi ban gaye h jo itni jaldi niyukti patra k liye pagal huye h kya chahte h ki farji wale bi chale jaye kya inke ristedar h kya farziwale
ReplyDeleteJinka ho gaya h wo kyu itna swarthi ban gaye h jo itni jaldi niyukti patra k liye pagal huye h kya chahte h ki farji wale bi chale jaye kya inke ristedar h kya farziwale
ReplyDeleteTarique ji ye duniya hi selfish logo se bhari h, yaha sab apna apna swarth hi dekhte hain , dusro ki kisi ko nahi padi, 1 or 2 % log hi keval apne swarth se pare dusro ki bhi chinta krte hai to kisi se koi ummeed krna khud ko hurt krna h.
ReplyDeletePriy ansari bhai with prerna singh ji-
DeleteIs tet k bainer tle hme sirf 1-2% hi swarthi dikhte h.aur rhi bat niyukti ptr ki to o to sarkar ki jldbaji h.q ki usasase use fayada h.tet sangharsh morcha ko nahi.q ki hmne jaha 3 varsho tk intjar kiye h.vaha 3 mhine aur sahi.
baki aap kl ki post me padh lijiyega.
Apka ek tet sathi
tmntbn sir , rajesh ji sabhi ko thanks aaj tak me aap logo ke dwara kiye gaye yogdan ko hamesha yad rakhuga...................thanks
ReplyDeleteमोहबत को जो निभाते हैं उनको मेरा सलाम है,
ReplyDeleteऔर जो बीच रास्ते में छोड़ जाते हैं उनको, हमारा ये पेघाम हैं,
“वादा-ए-वफ़ा करो तो फिर खुद को फ़ना करो,
वरना खुदा के लिए किसी की ज़िंदगी ना तबाह करो”
Breaking newsssss
ReplyDeleteUptet - भर्ती में अनियमितता से सम्बंधित केस जिसकी कल सुनवाई है***** ●●●●ये रिट जितेन्द्र सिंह सेंगर का है जो कल 21 की डेट में लखनऊ हाई कोर्ट के बेंच न0 8 मे लगा है। Case Status - Lucknow Bench Pending Service Single : 6698 of 2014 [Lucknow] Petitioner: JITENDRA SINGH SENGAR & 16 ORS. Respondent: STATE OF U.P. THROUGH PRIN. SECY. SECONDARY EDU. LKO. & ORS. Counsel (Pet.): GIRISH CHANDRA VERMA Counsel (Res.): C.S.C. Category: Service-●●Writ Petitions Relating To Primary●● Education (teaching Staff) (single Bench)-Miscellaneous●● Date of Filing: 19/11/2014 To Be Listed on: ●●21/11/2014 in Court ●●No. 8 This is not an authentic/certified copy of the information regarding status of a case. Authentic/certified information may be obtained under Chapter VIII Rule 30 of Allahabad High Court Rules. Mistake, if any, may be brought to the notice of OSD (Computer). *news from fb
Prerna g aap to muje mature lagti thi bt ap b baki bevkufo ki tarah hi bate karne lgi.are koi farzi hoga to verification me out ho jayega...ab kya jo log is job k liye eligible hai vo sab selfish hai...don't expected 4m u
ReplyDeleteN ye s.bhole kamine ko sb farzi lg rahe hai qu ki merit iske tet no k according nhi ayi na to sb farzi hai...to gadhe bina verification k koi niyuktipatra nhi diya jayega...
ReplyDeletePiyush ji m sorry bt kbi kbi maturity k upar heart core feelings bhi aa jati hain, hum bhi aaplg ki tarah hi ek tet bharti k samarthak h bt ye chahte h ki keval eligible n true candidates ki hi barti ho kisi bhi farzi ki nhi , sorry if I hurt anyone of u. Gudnght , tkcr tet frns.
ReplyDeleteN u miss prerna so cool so mature girl apse to ye bilkul expected ni tha...ab ap ye khne lgi hai ki bharti delay b ho jaye koi prblm nhi hai...jb tk apka selection na ho ye bharti delay hi rahe...are niyuktipatra milega to verification me farzi or invalid out honge dn seats b vacant hongi n merit b giregi thoda mind broad kro...selfish kaun hai ye to kuch frustrated logo k comments padh kr pta lg hi jata hai...
ReplyDeleteOnce again m really v sorry piyush ji, I didn't mean to hurt anyone. I pray n wish ki verification me sab farzi out kiye jaye n aap n aap jaise only eligible n true candidates ko niyukti patra mile. Now gudnght n tk cr u all.
ReplyDeleteThnx 4 ur luvly opinion...n don't worry prerna g ek b invalid candidate in nhi hoga...
ReplyDeleteGudmrng piyush ji n all tet frns. Thanx to u too piyush ji , I also want that u all want nothing more than that.
ReplyDelete