Read more: http://naukri-recruitment-result.blogspot.com/#ixzz36cV9AUCl
From: Shyam Dev Mishra <shyamdevmishra@gmail.com>
Date: 2012/8/10
Subject: Matter for Urgent Publication on Blog
To: "Muskan 24by7." <muskan24by7@gmail.com>
Uttar pradesh me 72825 prashkshu prathmik adhyapakon ki chayan-niyukti prakriya par chal rahee adalatee rok, court ki karyavahi aur usme TET merit ke adhar par niyukti ke sawaal ko lekar aam abhyarthi aaj khud ko asmanjas ki sthiti me pa raha hai. Nyayalay dwara sarkar ko bhartee-sambandhi niyamon me parivartan ko haree jhandi diye jane kee bat maheeno se bharti-prakriya bahaal hone ka intezar kar rahe abhyarthiyon ko hatotsahit kar rahi hai.
Par TET-samarthak abhyarthiyon ko sarkar ke pratikool honey ke bhay se ummid chhodne ke bajay apnee kanuni majbuti, nyay-sangatta aur nyayalay ke anukool rukh ko dekhtey hue samajhna chahiye ki Court ke taja adesh ke bad itna to tay hai ki ab hum aakhir bharti-prakriya shuru hone ke kagaar par pahuch rahe hain. Aise me is mamley ke nimn binduon par mere vichar shayad apki shanka ka nivaran kar saken..
Mool prashn jo vigyapan ki vaidhanikta, yani iske adhikrit sanstha dwara jaree kiye jane ke bajay unki or se kisi any sanstha dwara jaree kiye jane, ko lekar tha, ab mahatvheen ho chuka hai aur ise court dwara ise matra ek takniki bhool mana gaya hai.
Dusra prashn BTC aur VBTC wale un abhyarthiyon dwara, jo na sirf 2 varsh ka prashikshan prapt kar chuke the aur jinhe prashikshan aur sewayojan ke liye chayan ke samay ek bar conselling ke jariye tatkaleen niyamon ke anusar janpad tak avantit kiye ja chuke hain, nyayalay se dobara prashikshan se chhoot mangne aur niyuktiyan vigyapan ke anusar vartman me prabhavee TET merit ke adhar par dobara banne wali jila-war merit-list ke aadhar par 6-maah ke prashikshan ke liye chayan taduprant nitukti kee vyavastha se khud ko alag kiye jane ki maang karne ka hai, taki unhe gair-jaruri prashikshan na karna pade. Sath hee ek takneeki samasya bhi yahan ayegi ki vigyapan me di gai vyavastha ke anusar prashngat prakriya me unko shamil kiye jane se purv me ek-bar prashikshan evam sewa-hetu chayan ke bawjud TET-merit me B.Ed. va itar yogyata wale abhyarthyon se pichhadne ki sthiti me bhi kis prakar unka purv me avantit jile me hi niyojan kiya ja sakea? Is mamley me sarkar ne ek halafname ke jariye unke liye alag se vgyapan nikal kar unhe niyojit karne ki bat swekar ki hai jo ki iska sahi samadhan hoga.
Teesra prashn media aur sarkar dwara bina kisi adhar ke TET me hui tathakathit dhandhli ka vidhwa-vilaap ka hai par ab tak mili suchnaon ke anusar abtak mamley ki janch me lagbhag 200 abhyarthiyon ko gadbadi karane ke sandeh me chihnit kiya gaya par unme se lagbhag 150 fail hain tatha baki 50 uttern abhyarthiyon ke bhi praptank lagbhag 60% hee hain. Hasyaspad hai ki ab log fail hone ke liye dhandhli karenge. Spasht hai ki yah mamla pareeksha me dhandhli ka nahi, ank badhhane ken am par kee gai thagi ka hai. Sath hee sarkaar dwara bhi pareeksha me nahi, pareeksha ke uprant hui tathakathit gadbadi ki bat kee ja rahee hai to isme doshi abhyarthee nahi, balki vibhageey adhikari hain, fir unki galtee ka khamiyaja abhyarthiyon par ladne se behtar vikalp punah mulyankan bhi ho sakta hai jab uttar-pustikayen sarkar ke sanrakshan me hi hain. Par is mamley me sarkar ke taja rookh se jahir hai ki wah bhi isme hui gadbadiyon ki itna gambheer nahi pa rahee ki paryapt sabooton ke abhav me matra shankaon ke aadhar par ise nirast karne ka nirnay le sake.
Yahan WRIT - A No. - 1337 of 2012 (Satya Pal Singh & Others vs. Union Of India & Others order dated 12.01.2012) mamley ka ullekh uchit hoga jisme nyayalay dwara vadee dwara TET ke ayojan par bina kisi thos aadhar par sasawal khade jane ko gambheerta se lete hue ise pareeksha-sanstha aur usme shamil-safal logo kee garima kahana batatey hue tagda jurmana lagaya gaya tha. Kya rajy-sarkaar dwara aaj TET ke upar uthaye ja rahe sawaal isi dayrey me nahi atey.
Adesh ka ansh apke liye prastut hai;
“he (petitioner) contended that the direction contained therein that it shall be ensured that the persons recruited as teachers posses the essential aptitude and ability to meet the challenges of teaching at the primary and upper primary level has not been observed in conducting the aforesaid examination and the examining body is guilty of unfair means and unsuitable selections have been made illegally. However, he could not show any thing specifically despite repeated query but in a generalized and vague manner said that all the persons who have passed the examination are neither qualified nor suitable candidates. This is clearly a derogatory remark not only against the examining body but also against lacs of people who participated in the examination and passed the same. The statement is made in a most careless and reckless manner which, in my view, clearly amounts to abuse of process of laws and, therefore, the writ petition must be dismissed with exemplary cost.”
Atah asha hai ki sarkar is tarah ke arop lagane ki himakat ab aur nahi karegi aur ab TET ke tathakathit dhandhli ke aadhar par nirast hone ka khatra nahi rah gaya hai.
Chautha aur sabse mahatvpurn pashn sarkaar ke mansha ka hai jiske antargat wah prakriya shuru hone ke bad chayan ke aadhar me parivartan ka nirnay le chuki hai. Yahan main na academic merit ka virodh karta hoon na TET merit ka andha samarthan karta hoon. Choonki sarkar dwara samay rahtey apnee shaktiyon ke samyak anuprayog dwara NCTE ke dishanirdeshon ke anusar avashyak niyam banakar vigyapan jaree kiya gaya jisme TET merit ke aadhar par chayan kee bat kahkar avedan amantrit kiye gaye the aur uske anusar abhyarthiyon ne avedan kar diye, aise me nyayik roop se prakriya shuru hone ke bad chayan ka aadhar badalna sambhav hee nahi hai. Yahan sarkar ko sarvshaktimaan maankar chup baithne ki bhool na Karen balki yah yaad rakhe ki satta ke mad me choor netaon ke sarkaron ke madandh aur atarkik faisle aksar nyayalay me muh ki khate hain aur is mamley me bhi aisa hee hona tay hai. Nyayalay ko bhi is baat ka purn abhas ho chukka hai ki sarkar apni satta aur adhikaron ka durupyog kartey hue is prakriya me manmani karne ke liye taiyar hai aur yahi karan hai ki mamley me turant sthaganadesh hatakar sarkar ko manmani karke kee chhot dene ke bajay mamneey nyayadheesh ne sarkar se apne pattey pure tareeke se nyayalay me hi kholne ko kaha hai taki girgit ki tarah pal-pal rang badal rahi sarkar nyayalay se chhoot miltey hi bahar jaker manmane nirnay na kare. Aise sthiti me yato bekusoor abhyarthiyon ko anyay sahna hoga ya fir court jana hoga. Aise me nyayalay me sarkar dwara puri tarah prakriya ke har bindu ke bare me apne nirnay batane se court me hi unki vaidhanikta aur nyaysangatta ka pareekshan ho jayega aur is mamley ka nyaysangat hal nikal sakega aur is bar shuru honey par bharti-prakriya me koi badha ane ki sambhavna nahi rahegi.
Kewal aur kewal purv-prakashit vigyapan ke aadhar par yani TET -merit ke aadhar par bhartee chahney walon ko dhayn dena chahiye ki unchi academik merit wale kai abhyarthi to ab sarkar ki matr academik merit ke aadhar par bhartee ki mansha bhanp kar kisi bhi aadhar par bhartee shuru bhar ho jane ke pakshdhar ban chuke hain taki auro ka bhale kuchh bhi ho par unko niyukti mil jaye. Par yaksh-prashn yani neetigat va nyaygat sawaal to yahi hai ki is sambandh me jaree vigyapan kee sharton ko darkinar kar kaise bhartee ki ja sakti hai aur ise kis prakaar uchit thahraya ja sakta hai? Aise sabhi abhyarthi, jinhe TET merit ke aadhar par chayan se hi naukri pane ka vishvas hai, unke liye yah samay ab ek aisee pareeksha ka hai, jahan sarkar to pratikool hai par kanuni paksh majbut hone se aur nyaypalika dwara sarkar se lagatar sawaal-jawaab kiye jane aur samaybadhh nirdesh diye jane ke rukh se jeet ki prabal sambhavna bhi dikh rahi hai. Aise me bina kisi any vikalp ke sirf aur sirf TET-merit ke adhar par chayan me apna kalyan chahney walon ko ab sarkaar ko sarvshaktiman mankar hatash baith jane ke bajay ekjut hoker puri takat se is ladaai ko ladne ki jarurat hai.
Puri asha hai ki nyayalay sarkar ko kuchh bhi anayapurn parivartan karne ki anumati nahi dega par yadi, jiski sambhavna atyant kam hai, nyayalay sarkar ke nirnay ko manyatad de bhi deta hai to abhyarthiyon ko is ladaai ko aagey ladne ke liye bhi taiyar rahna chahiye. Aise me Single bench ko pahla padaav hi samajhna chahiye aur iske nirnay koi antim ya atal nahi mana jana chahiye balki iske aadhar par sarkar dwara vigyapan ke aadhar par bharti ke alawa kuchh aur karne kee sthiti me nyayalay me jana aparihary hai. Aise me TET-merit se chayan ke pakshdhar abhyarthiyon ke liye sirf 2 marg hain,
1. Kanuni ladaai ke sursa-numa kharchon aur isme lagne wale samay-shram ko dhyan me rakhtey is jo abhyarthi khud ko is ladaai me akele khade hone me asamarth patey hai aur samoohik prayason ke samarthak hain, unhe is mamley me ab tak sakriy bhumika nibha rahe apne sathiyon ki pahal ka intezar karne ke bajay unse sampark karke na sirf unka manobal badhhana chahiye balki unhe avashyak aarthik sahyog bhi dena chahiye. Yah sunishchit karna avashyak hai ki kanuni paksh majbut hone k bad bhi kahi aarthik kathinai se pairvi me hui kami ki vajah se kahin ye ladaai hath se na nikal jaye. Abhyarthi chahen to svayam Allahabad jakar bhi nyayalay me sakriy rahe apne sathiyon se milkar vastu-sthiti ko samajh saktey hain aur tadanusar nirnay le saktey hain.
2. Jin abhyarthiyon ko samuhik prayason ki apeksha apne sansadhno aur samarthya tatha apne vyaktigat prayason par bharosa hai, unhe chahiye ki wo bhi kamar kas le agey ki ladai ke liye. Kal agar kinhi karno se samuhik prayas safal na hue ya paryapt prabhavee na rahe to aise abharthee kam se kam kam ladaai me bane to rahenge. Sath hi aisa karke na wo sirf apni ladaai apne tareekey se lad pane ko swatantra hongey balki apni nazar me bhi khud ko sahi thahra payenge.
Par is ladaai me ab chupchaap hath par hath dhare baithe rahne ka samay chalaa gaya hai.
6 august ki bahas me apna paksh majbuti se rakhne ki koshish ke antargat kuchh sathiyon dwara varishth adhivakta Ashok Khare ke sath prakhyat adhivakta Shashikant ji ko bhi vigyapan ke anusar TET merit se chayan ke paksh me prabhavi bahas aur damdar daleel deneke liye khadaa kiya gaya. Aise prayas na sirf srahneey hain balki is mamley me nirnayak bhumika bhi nibha saktey hai. Yahan baki abhyarthi, jo vigyapan ke adhar par bharti ke paksh me nirnay ki baat joh rahe hai par pratyaksh roop se kanuni ladaai me shamil nahi hai, ko lagatar chal rahee kanuni ladaai aur samay-samay par is tarah ke atirikt prayason ke arthik pahlu, yani inpar anewale kharchon ki or bhi dhyan dene aur agey badhkar apna vyaktigat sahyog dene ki jarurat hai.
Is sambandh me Bhai Devendra, Jo delhi ke honey ke bawjud Allahabad me sakriy rahtey hai aur Delhi me hue pradarshano me aham bhumika nibhatey rahe hai, dwara mujhe bataya gaya hai ki abhi tak Pradesh ke kai jilo se arthik sahyog mila hai aur anewale kharchon kee purti ke liye ve sabhi apne star se prayas kar rahe hain. Par unke prayason ka samman kartey hue ab HAR TET-ABHYARTHI, JO IS PRAKRIYA SE NIYUKTI PANE KEE ASHA RAKHTA HAI, ko agey badhkar apna sahyog karne ki avashyakya hai. Tamam sathi samay-samay par is andolan me har sambhav sahyog dene ka ashwasan dete rahe hai par ab use kary-roop dene ka samay aa gaya hai. Is sandarbh me DELHI-NCR ke sathiyon se anurodh hai ki kripya isi 12th August ko aprahn 2:00 baje India gate, New Delhi me ayojiy baithak me avashya aye, mamley ko, apni sthiti ko lekar yadi koi jigyasa hai, uska nirakaran Karen aur agar apko sahi lage to wahi is ladai me yathasambhav arthik sahyog pradaan kar sunishchit kare ki lagbhag jeeti hui kanuni ladaai kewal arthik tangi ke karan na haari jaye...
Apne vivek ka istemal Karen, apna hit dekhen aur wahi Karen jo apko apne hit me uchit lage.
Apka sathi.
SHYAM DEV MISHRA
Mumbai
09222172977
***********************************
Above content is provided by Shyam Dev Mishra ji (Blog Visitor and attached with UPTET issues),
Other Blog Visitors can also express their views and to share information on Blog.
Tet +acd is best way
ReplyDeletetarun ji
ReplyDeleteyou are safe in both procees tet or acd due to having obc category
iss blog pr kab kya koi kh de kha nahi ja sakta.sab ajad sipahi ki trh h.
ReplyDeleteap log ye kyo nahi sochte ki sabko apne future ki chinta h.sabko nokri chiye. che wo acd.199 ho ya tet 83
ReplyDeleteek khawt h.
"मरता Kया ना करता"
this blog is made for sharing our thought do.nt creat any tension among us
ReplyDeleteसबको अपने विचार रखने का पूरा अधिकार हैँ
ReplyDeleteKaun hai ye madarchode.sale barti start hone do.jayda kabil mat bano .government aur court ko apna kam karne do wayse hoga kuch nahi hamare chilane se ya suggestion dene se
ReplyDeleteThanks Shyam dev Mishra ji.... Mujhe aapke vicharo ka besabri se intjar rahta hai aur isko padhne ke baad har tetions ke andar ek naya josh ,himmat wa ummid jag jata hai jo yakinan hamari ladai ko jari rakhne aur jeetne me hamara sahyog karega....
ReplyDeleteGood article,,, by shalabh tiwari
ReplyDeleteहमारे कुछ साथियों के मन न्यायमूर्ति अरुण टंडन
जी की रणनीति के बारे में संशय है ,,टंडन साहब ने समझ
लिया है कि कि हमारा मामला कानूनी ना होकर
राजनीतिक अधिक है ,,,और राजनीति ही इस
समस्या का समाधान कर सकती है ,,,5 जुलायी के निर्णय
ने सरकार को इस मामले में अपना रुख स्पष्ट करने के लिए बाध्य कर दिया ,,,और 6 अगस्त को न्यायालय ने सरकार
की मंशा पर प्रश्न चिन्ह लगा दिया ,,,साथ ही सरकार
को चुनौती दी है कि वह कैबिनेट की इच्छा के अनुरूप
बेसिक शिक्षा नियमावली में परिवर्तन करे ,,,अगर
सरकार ऐसा करती है तो न्यायालय के पास विकल्प है
कि वह हमारी विज्ञप्ति से स्थगन आदेश को सशर्त हटा दे और स्पष्ट कर दे कि इन 72,825 पदों के लिए
भर्ती प्रक्रिया में कोई भी संशोधन मान्य
नहीं होगा ,,,न्यायालय यह आदेश 6 अगस्त
को ही जारी कर सकता था ,,लेकिन ऐसा ना करते हुए उसने
सरकार को यह मौका दिया है कि वह पक्षपात रहित
होकर निर्णय ले और भर्ती प्रक्रिया को टेट प्राप्तांकों के आधार पर प्रारम्भ करे,,,सरकार
की मंशा academic से भर्ती करना ना होकर भर्ती को लंबे
समय तक लटकाने की ही अधिक
थी ,,,क्योंकि इतना तो उसके
अधिकारियों को भी ज्ञान है कि ये भर्ती भले ही 100
साल तक ना हो लेकिन टेट प्राप्तांकों के अतिरिक्त और किसी भी तरीके से नहीं हो सकती ,,,सरकार
चाहती थी कि न्यायालय विज्ञप्ति को release कर दे
और सरकार नीतिगत मामला बताए हुए उसे रद्द करके
नयी विज्ञप्ति academic के आधार पर निकाल
दे,,,इसका नतीजा होता ,,हम 5 साल तक उच्च न्यायालय
और सर्वोच्च न्यायालय के चक्कर लगते रहते ,,,अब टंडन साहब ने सरकार के पास यह विकल्प भी नहीं छोड़ा है ......
लेकिन सवाल यह है कि टंडन साहब यह सब कुछ किस
अधिकार से कर रहे हैं जबकि उनकी अदालत में
मामला सिर्फ इतना है कि सचिव यह
विज्ञप्ति जारी कर सकता है या नहीं ,,,,????
शिक्षा का अधिकार अब मूल अधिकार है ,,,लेकिन शिक्षा देने का हमारा अधिकार
नहीं बल्कि बच्चों का प्राप्त करने का अधिकार मूल
अधिकार है ,,,और इसी अधिकार में गुणवत्तापरक
शिक्षा प्राप्त करने का अधिकार सम्मिलित
है ,,,न्यायालय का यह कर्तव्य है कि वह मूल
अधिकारों की रक्षा के लिए सजग रहे और आवश्यकता पड़ने पर मामले को स्वतः संज्ञान में ले ,,,5
जुलायी केआदेश में प्राथमिक विद्यालयों में
हजारों पदों के खाली होने उल्लेख है और 6 अगस्त के
आदेश में suitable और qualified teachers
की कमी का जिक्र किया गया है ,,,हमारी नौकरी के बारे
में एक शब्द भी नहीं कहा गया है ,,,,,अब सरकार के पास यह विकल्प भी नहीं बचता कि वह सर्वोच्च न्यायालय में
special leave petition डाले और उच्च न्यायालय के अपने
अधिकार क्षेत्र के अतिक्रमण को चुनौती दे ,,,अगर
कहीं गलती या बेवकूफी से वह ऐसा करती है तो ना केवल
हमारी भर्तियों पर बल्कि सारे देश में academic के
आधार पर होने वाली सभी भर्तियों पर संकट आ जाएगा ,,,NCTE इस बात का जवाब नहीं दे
सकेगी कि आखिर उसने अपने निर्देश में यह स्पष्ट
क्यों नहीं किया कि शिक्षकों का चयन अंतिम रूप से
टेट के प्राप्तांकों के आधार पर ही किया जाएगा ,,,मुझे
नहीं लगता कि देश में कोई और
परीक्षा ऎसी होगी जिसे मात्र qualifying मानकर अंतिम रूप से चयन academic या academic + exam
marks के आधार पर होता हो ,,,,
अब आप स्वयं ही निर्णय लें कि इन
परिस्थितियों में सरकार के पास कौन कौन से
विकल्प हैं,,,,आप सभी अखिलेश यादव से अधिक
Intelligent हैं ,,,अपने आपको मुख्यमंत्री की जगह पर रखकर सोचें और उसके निर्णय का पूर्वानुमान लगाएं ,,,,,
Shyam dev mai aapke saath hu. Nivedan hai ki prayas yah rahe ki sabhi jilo k adhyaksho ko utsahit kar jile k tet pass abharthio se jinhe tet merit ki aawashyakta hai se samchar patro k madham se ikattha hone aur jaruri aarthik sahyog ki maang kare.
ReplyDeleteSDM SIR KE BLOG PAR DHYAN DEN AUR AARTHIK SAHYOG PRADAN KAREN YE HAM SABKE FUTURE KA PRASHN HAI.
ReplyDeleteWe are ready for economical support.
ReplyDeleteTet morcha mahoba.
Shyam dev mishra tu bada chalak hai,tujhe ye to ab clear ho hi gaya hai ki bharti tet merit se nahi ho payegi aur ab tu soch raha hai ki bharti to tu ho nahi payega kyon na tetians se paisa hi kama liya jaaye,shame on u
ReplyDeletehi friends,
ReplyDeleteIs blog par arakshan se sambandhit comments ko padkar bahut hairani hui ki hamare bhavi teachers sc/st k bare me is tarah k biasness rakhte hai.reservation ke bare me mai kuch fact provide karana chahta hu.
Pahli bat to yah hai ki sc/st ka arakshan samvedhnik hai.(article-16) our obc ka bhi bad me arkshan diya gaya.ajadi k samay sc/st ki condiaion bahut karab thi isliye samajik aor saichik pichdepan ke karan inhe samvidhan ki taraf se reservation diya gaya.kya aaj samajik aor saichik rup se yah varg savarno ke barabar aa gaya hai.Nahi aaj bhi yah varg k sabse nichle payadan par hai,uske sath aj bi jati k aadhar bhedbhav kiya jata hai.unhe jati suchak sabdo se sambodit kiya jata hai.niji camponiyo me unki jat puch-puch kar unhe interview me ayogya ghosit kar ba bahar kar diya jata hai.bale hi vah kita bi yogya kyo na ho.kyoki un companiyo k malik savarn hote hai ,vah keval apne logo ko hi rakhte hai.yah mai aarop nahi laga raha hu balki maine khud bhutbhogi hu.aap hi batayie jin manegment inter colleges,private colleges me aap pade hai waha kitne sc/sc teacher the.shidhi si bat hai college savarno ka hai to bvo sc/st ko kyp rakhenge.sare teachers apko high cast k hi mélange.vaha kis tarah se teacher rakhe jate hai aap sab acchi tahah se jante hai.
Rahi bat yogata aor mehnat ki to ye cheeje kisi ek dharm ,ek jati,ya ek desh ki bapoti nahi hoti hai.yah bat science siddh kar chukka hai.janam se 95% bacche ek saman hote hai.invironment ke karan unme kuch asamanta aa jati hai.jin jin sc/st,obc ko theek watawaran mila hai unhone kud ko sabit kiya hai.aor aaj bi sabit kar rahe hain.chahe wah walmiki ho DR.bheem rao amedkar ho.ram manohar lohiya ho,kanshi ram ho, president K.R Naraynan (IFS 35 yers),jageevan meera kumar(ALSO IFS 30year ) chief justice K G Balakrisnaan, many more etc.
Rahi bat arthik adar par reservation ki to 55% sc/st log Below powerty line ke neeche hai.aor baki me muslims aor OBC log hai(according to HRD ministry.atah BPL ke aadar par bi yahi logo ayenge.saichik aadar par ye to pichde huye hai hi.
Agar samaj ne inke sath hajaro salo se jati k aadar par bhedbhav kiya hai to arakshan bi jati k aadar par hi milna chahiye.hajaro salo ka yah kalank 50-60 salo me nahi dur ho sakti.yah kewal tabhi katam ho sakta jab is desh se jatiwad ka jahar puri tarah se khatam ho jaye.Rahi bat sc/st obc students ki pratibha ki to uski chinta aap log na kare.ye log genral cetagery me acchi sankya me fight karke pahuch hare hai.abi Allahabad university me vibhinn entrance exam in vargo ne 75% seats par fights kiya jis se waha hadkamp mach jaya tha.
Tet me bhi hajao abyarthio ne GEN catagary me fight kiya hai.So plz in vargo k bare me biasness, apne dimaag se nikal deegiye aapki bahut bahut krapa hohi.
My name is alok ranjan,TET-122 number(SC) (roll no-16001957) , acd merit-255
ReplyDeleteKam se kam Shyam Dev Mishra ji ke baare mein galat salat gali jaise shabdon ka upyog na karen,
Apnee baat ko tarkik roop se rakhen.
Bhrtee ka base chahe jo bhee ho, samjhdaaree ka parichay den.
Aap log khud itne pade likhe hain,
Alok ji , Aarkshan ke baare mein , Main ek baat bolna chahtee hoon -
ReplyDeleteAarakshan ka jo log fayda utha rahe hain, bahut se log unmen se aise hain jinkee kaee peediyan is aarkshan ka laabh utha chukeee hain,
koee creamy layer definition honee chahiye.
Jo log apnee jation mein aage bad gaye, ve aarkshan kaa labh jyadaa le rahe hain.
Aur kya Promotion mein aarkshan sahee hai
IAS/IPS officers ka bachhon ko aarkshan mile , kya ye sahee hai ?
KOI YE BATAYE KIJO COURT NE SC/ST KO 50 % TET MAI MARKS NIRDHRIT KIYE HAI USKI KISI KE PASS KOI DETAIL HAI PLEASE BATAO.
ReplyDeleteJab UPTET 2011 exam surakshit ho gayaa,
ReplyDeleteto ab aage ghabraane kee jaroorat nahin hai.
Acad. Vs. TET ko aapas mein ladne kee jaroorat nahin.
Bas aisa hal nikalnaa chahihe , jisse aage koee stay nahin ho , sabke saath sahee insaaf ho, aur jald se jald bhrtee start ho
editor aap usse bolo ki sala apna muh band rakhe aur fuss creat na kare ham waese hi pareshan hai yes aala paese kamane keiye sab ko behkata hai apne kam se kam kiu nahi rakhta hame nahi chahiye is harami ki advise
ReplyDelete
ReplyDeleteBol Bachhan ji aap ko agar unkee baat theek nahin lagee, to aap usko nahin maniye.
Par aap SDM ji jaisee bhasha ka parichay jaroor den
Unhonne apne lekh mein koee gande (wrong) shabdon ka use nahin kiya.
Agar koee Nyayik prkriya ke leeye bolta hai, to democracy ham aur aap nahin rok sakte.
Unhone aap se personally kuch nahin bola, jisko baat theek lagegee accept karegaa varna nahin
editor i love u aaap ne to meri aaakhen khol di ok henceforth i will not use abuse language now happy
ReplyDeletebut jaane se pehle ek baat poochu ga aap ne kha unhone to matlab koi setting hai kya warna koi kisi ke liye itna possessive nahi hota khaer mil baat kar khiye aur khus rahiye bye
ReplyDeleteAre bhai kam se kam blog editor aur sd mishra ka samman karen
ReplyDeleteS d mishra g mai aapke saath hu tan man dhan se. My email id sawan2011@gmail.com
ReplyDeleteThank's shyam dev mishraji aapne jo likha, usse hum tetions ko ek nai urza, himmat,visvash,sangthit rahne ki takat mili,asha hai aap hum sabhi tetions ka isi tarah se marg darshan karte rahege.......sdmishraji & blog aditor ji aap kuch logo ka bura mat manna kyoki jo bhi vyakti boleta hai apne vivekanusar bolata hai.
ReplyDeleteShyam dev mishra ji aap ek uchha vicharon vale hain aap jaise log yadi hamari ladai me hain to jeet hamari hi hogi sarkar ko ham logon ke sath rajneeti nahi khelne denge . Kuch aise sirfire log bhi hain jo is blog par sirf apsabd likhte hain vo unki mansikta hai vo vahi tak seemit hain. Vo na to acd me na hi tet merit vo to bas ghar baithe haram ka paisa dikh raha hai. Na to sicha se matlab na hi desh se ek no ke kayar hain. Vo ncr to kya muhalle ki meeting me nahi bol payenge. To ham longo ko apna karya karte rahna chahiye. Ham sabhi tan man dhan se aapka samarthan karta hun.
ReplyDeletedekh bhai bol bachan. Teri maa ne tujhe yahi sikhaya h,lagta hai. Apni maryada me reh.
ReplyDeleteaur agar tu insaniyat ko setting kehta hai to ye bata k teri bahen ko tune kitni bar set kiya..
Juban ko lagam de k chal. Abhi to thik h par aage se jara sambhal kar.
aur ye kya aarakshan ki aisi taisi kari aapne blog editor ji.kya aap jante hain k agar kisi ko paki pakai khane ko mile to wo mehnat nahi kar sakta kabhi.means k aarakshan ek afeem hai jiski lat sc,st ko lag chuki hai.
ReplyDeleteAgar aap kahe k bpl ko aarakshan do ,to ye thik hai.par ab koi kyo jaane dega apne hath lagi sone ka anda dene wali murgi ko.
So ye sochna b bekar hai k aarakshan ko kam ya khatam kiya ja sakta hai.
Aur han rajniti kaise hogi netaao ki.inki dukaan kaise chalegi.
jani... Jo maje le rahe h wo to lege....hame to nokri magta h...bs
ReplyDeleteoye sdm ki himayatiyo aur chamcho aap log kyu nhi samajhte ho ki wo mumbai me baith k up ki rajniti ko n to samajh rha h aur n to jan rha hai wo bas netao ka ek chamcha hai jo ham logo ko aapas me bas ladwa k paisa usulane aur bharti ko latkane ka kam kr rha hai ham sbi log padhe likhe hai aur up se achchi tarah parichit hai to kyu kisi aur ka puch pakade huye ho aap log khair
ReplyDelete'Paisa aapka faisla aapka'
Ek time aayega jb aap log b es bande ko galiyon se hi nwajoge abi sayad patti bandhi hai aankho pe.
Bhai log nimyawali me sansodhan kab tak hoga
ReplyDeleteAbe koi kuch jaanta hai ki time pass kar rahe HO SAB
ReplyDeleteSathiyon,
ReplyDeleteMera pratyuttar upar kuchh mahapurushon dwara mere prati prayukt alankarik vicharon ke karan nahi, balki sirf mere un hitaishiyon ki ashankaon ko dur karne ke liye hai jinhe mere prati kuchh logo dwara kiye jane wale abhadra vyavhar ke karan mere is manch se dur chale jane ka bhay hai. Varna main aisi nagany baton pe dhyan tak nahi deta.
Mere vicharon par Meenu Ji, Bol Bachchan Ji aur Arun Maddhesiya Ji aadi ne jo shankayen jaahir ki hain, unka mujhe purvanuman tha, yahee karan hai ki maine aapse is pure mamley, iski kanuni sthiti aur sambaddh pahluon ko samajhkar hi aarthik sahyog karne -na karne ka nirnay apne vivek se lene ki apeal ki hai. Aur is sambandh me kisi vyakti ko koi dhanrashi dene ke purv sunishchit kar len ki yah sahi uddeshy ke liye hi prayukt hogi.
Jahan tak Uttar pradesh ke barey me janne ki bat hai, pradesh se bahar nikley abhi matra 4 sal hue hain aur 27 saal maine isi rajy me gujare hai, so isse mere aparichit honey ki bat karna hasyaspad hai.
Rahi bat apshabdon ke prayog ki to, aisi teekhi pratikriyayen mujhe ashwast kartee hai ki mere vicharon ki satyata aur us se tamaam abhyarthiyon me utpann hone wali urja-utsah, TET-Merit ke aadhar pe bharti ke virodhyon ko is kadar mansik roop se vichlit kar rahi hai ki we uchit-anuchit tak ka vichar kar pane me asamarth hoker aisee harkaten kar rahe hai. Main samajhta hoon, aise log krodh ke nahi, matr dayaa ke patr hain.
Dhanyvad.