UPTET /72825 Teacher Recruitment : टीईटी आवेदकों ने सुप्रीम कोर्ट में दाखिल की कैविएट
इलाहाबाद (ब्यूराे)। हाईकोर्ट द्वारा परिषदीय विद्यालयों में 72825 पदों पर टीईटी मेरिट से भर्ती के निर्णय के बाद टीईटी पास आवेदकों ने शुक्रवार को सुप्रीम कोर्ट में कैविएट दाखिल कर दिया है। यानी प्रदेश सरकार शिक्षक भर्ती के मामले में अगर सुप्रीम कोर्ट जाती है तो इससे पहले उसे याचिका कर्ताओं को इसकी सूचना देनी होगी। कैविएट शिवकुमार पाठक और संजीव मिश्रा की ओर से दाखिल की गई है।
बताया कि लाखों आवेदकों का इंतजार दो साल बाद खत्म हुआ है। अब नहीं चाहते हैं कि नौकरी मिलने में किसी भी तरह की दिक्कत आए। बुधवार को हाईकोर्ट द्वारा टीईटी मेरिट के आधार पर भर्ती देने के फैसले के बाद ही आवेदकों ने निर्णय ले लिया था कि सुप्रीम कोर्ट के कैविएट दाखिल किया जाएगा। परिषदीय विद्यालयों में 72825 पदों की भर्ती के लिए ढाई लाख से अधिक आवेदक हैं, जिन्हें नौकरी का इंतजार है।
News Sabhaar : Amar Ujala (23.11.13)
*********************
According to Facbookiyans :
Caveat filed in Supreme Court of India in the matter of DB Judgment dated 20.11.2013 on 72825 Trainee Teachers Recuitment by Anil Kumar, Vijay Singh Tomar and Devendra Singh..
****
Vijay Singh Tomar
15th amendment ko court ne 3 tarike se galat bataya hai...
1. Acdm. merit , Samanta ke Maulik adhikar ka hanan hai (article 14)
2. TET guidelines ko ye amendment follow nahi karta tha
3. Iska effect retrospective nahi ho sakta isliye 72825 ki bharti par laago nahi hota
Ab Sarkar agar SC jati bhi hai article 14 ko lekar to bhi 15th amendment mein TET ka weightage na hone ke karan to ye waise hi khariz hoga...
Ab rahi hamari baat to court ne 12 amendment ko poori tarah sahi mana hai isliye agar gov. TET ka weighage dene ka baad SC se article 14 ko lekar gidgidaye to bhi hamari bharti 12 amendment se hi hogi.. Isliye no tension
Ab agar gov. SC jaye bhi to TET morche ko sirf itna karna hi ki ek bahut achha lawyer karke SC ko sirf ye baat samjhani hai ki Ham 15 amendment se pehle hi paida ho gaye the isliye RTE ki samay seema ko dekhte hue hamari Counselling ko na roke baki agar usko 15 amendment par behas karni ho to kyoki wo hamari bharti se alag matter hai uski sunwayi alag kare...
Ab hame kya karna hai to sirf itna ki apni Counselling shuru karwani hai iske liye mere bhaiyo sabhi log Khoob kha-pee kar sehat bana lo kyoki agar ye sarkar seedhe na mani to abki baar jo hamlog LKO gaye to wapas niyukti parta lekar hi aayenge...
Aur ha.. jinko ye chinta hai ki kuch logo ne purane form ke paise wapas le liye hai to unke liye, jab wo apna pratyawedan denge to unse mool draft naya banwa kar fir se jama karwa liye jayega (Ye baat ek BSA adhikari ki varta par adharit hai)
Aur Sath jo bhartiya sarkar ne 26/07/2012 ke baad 15 amendment par kari hai wo waise hi galat hai kyoki jab koi mamla court mein challenge tha to Gov ko kisi bhi tarah ki bharti karni hi nahi chahiye thi...isliye ye sarkar ka tension hai hamara nahi
*********************
Shyam Dev Mishra> Struggle for Right to Education Implementation" एक पहल"
Supreme Court kisi niyamavali ya Shasanadesh ko ya uske kisi ansh ko tabhi tak sahi tharata hai jabtak wah Bharteeya Samvidhan ya kisi Adhiniyam ke viruddh na ho. Samanta ke Adhikar ki Ghoshna karnewale Samvidhan ke Anuchchhed 14 ke aadhar par Shuddh Academik ko Avaidh karar dete hue Khandpeeth ne is bat ki pakki vyavastha kar di hai ki 72825 Trainee Teacher ke pado par niyukti Shuddh TET merit se ho! Purane vigyapan ki kisi takneeki khami ko sudharna, yadi koi ho, ek samanya bat hai kyunki RTE Act, 2009 ke uddeshyon ki purti ke liye Sarkar dwara uthaye gaye kisi kadam, Jaise Sachiv dwara Vigyapan nikalna, ko Jayaj thahrane ke liye RTE Act me ''Action in Good Faith'' ko Sanrakshan dene ka spasht pravdhan hai. Waise bhi 72825 pado par chayan-prakriyaprarambh hone ke samay Niyamavali 1981 me Prathmik Star par matra Snatak B.Ed. TET utteern abhyarthiyo ko niyukti pradan karne ki koi vyavastha nahi thi, aur RTE Act ke pariprekshya me NCTE ki adhisuchna ke alok me aisa kiya jana vidhi-sammat tha. Jahir hai, Shikshako ki kami puri karke Bal Shiksha ka adhikar pradan karne ke liye Niyamavali 1981 ke tatkaleen pravdhano se pare koi aisi vyavastha apariharya thi jo NCTE adhisuchna ke anusaran me Shikshako ki niyukti ka rasta saf kar sake, aur Tatkaleen Sarkar ne Shasanadesh ke jariye aisa kiya jo ki Good Faith me uthaya gaya kadam tha. 1981 ka jo bhi pravdhan us samay NCTE adhisuchna ke viruddh tha, pratikul tha, swabhavik roop se arth-heen tha aur uske anupalan ke liye nyayalay se yachna karna vyarth hi tha, aur aaj bhi vyarth hai.
Supreme Court me Jane se yadi kisi ko wastav me darna chahiye to wo do paksh hain.
1. Sarkar - Filhaal Sarkar ke par Khandpeeth ke adeshanusar 72825 pado par TET merit se nyukti karne aur Niyamavali 1981 ke radd ho chuke 15th Amendment ke sthan par ek aur Sanshodhan karke TET-wieght sahit ek naya chayan-adhar banaane ka rasta khula hai jiske aadhar par Junior Bharti puri ki Ja sake. Supreme Court jane ki sthiti me vaha Shuddh Gunank merit to banne se rahi, NCTE Guidelines ko khandpeeth dwara bhadhyakari thahra diye jane ke bad TET-weightage to milna to tay hai, sath hi is bat ke bhi prabal aasar hai ki alag-alag Boards/Universities ke asaman Mulyankan-Paddhati ke aadhar par Maujuda Quality Point Pranali aur Sabhi Board/Universitie ke anko ko saman mahatv diye jane ko punah galat batate hue tulanatmak aadhar par alag-alag board/univerities ke bhinn-bhinn praptank pratishato ko saman mana jaye aur uske sath TET-weightage ki vyavastha di jaye. Yah nishchit roop se ek do-dhari tallwar par chalne ke saman hoga.
2. Third Party (Jo 3rd Party ban hi nahi pai): Jis yachi ne apne kisi hit ke prabhavit hue bina ekal peeth me matra BSA ke sthan par Sachiv dwara vigyapan nikale jane ke aadhar par 72825 pado par chayan ki rok ki mang ki, jabki usne swayam us prakriya me avedan kiya tha, aur Khandpeeth me usne BSA wali bat ko sire se gayab karke TET-Merit ki bajay shuddh Acadamik Aadhar par chayan ki mang ki, jo Khandpeeth ke nirnay me me ''intervener's submission'' ke roop me darj ho chuka hai, yah dikhane ko paryapt hai ki is vyakti ne kisi kanuni aadhar par ya janhit ke liye ya apne kisi vaidh adhikar ki raksha ke liye nyayalay ki sharan nahi li, balki apne vyaktigat swarth ki purti ke liye kisi na kisi tarah, har uplabdh avasar par is prakriya ko baadhit karne ki kucheshta ki. In par yadi RTE ke uddeshyon ko badhit karne ke dushprayas, court ko gumrah karne aur bar-bar apna stand badalne ke aadhar par Supreme Court dwara tagda Jurmana lagaya jaye to isme kuchh bhi ashcharyajanak na hoga.
Isliye purv-vigyapanyaTET-merit se chayan ke sabhi pakshdhar katai pareshan na ho, Supreme Court me Caveat file kake is bat ki vyavastha kar li gai hai ki mamla yaha aane par pratipakshiyon ki bachi-khuchi ijjat ka faluda kayde se banaya jaye!
Satyamev Jayate.