News of Hindustan Paper (26.3.14) -
**********************
Bhrtee ko Lekar Kuch Adchane Batai Gayee Hai,
Lekin Aajkal Software/ Internel ke Jammane Mein Yeh Utnee Mushkil Bhee Nahin Hai.
Software mein Candidates kee Details, District Choice, Male/Female, Category (GEN, SC, OBC, ST, Shiksha Mitra etc.) , TET Marks, Education Qual etc. bharwaa kar. Turant cut-off nikalee jaa saktee hai.
Aur candidate kee choice lock hone ke baad uske other chance band kar diye jaayen.
Uske Baad Candidate ke Documents Verification ke liye Bol Diyaa Jaaye.
Ek Kaam Kiyaa Jaa Saktaa Hai ki Candidates ne jin districts mein apply kiyaa hai, Unhee Mein Online Apply Karne ko Bolaa Jaye.
Online Apply Karne Vaalon ke liye Rs. 5/10- Online processing fee le lee jaye. Jis Se PH candidates ke Naam se fake form na bhare jaa saken. Jaroorat ho to documents verification ke TIME par inkee Fee Rs 5/10 reimburse kar diye jaayen. Iss se Inke Aavedan Nishulk Ho Jayenge.
In candidates se pehle apply kiye gaye form kee Speed post/ registry slip , Draft kee photo copy verify kee jaa saktee hai.
Draft fee jama na hone par - Jaroorat ho to TET certificate ke Saaath Rs. 500/- ka naya draft liya jaa saktaa hai Ya fir Online aavedan ke saath yeh fees lee ja saktee hai.
Aakhir kaar apply to UPTET 2011 vaale hee kar paayenge
***********
Sawaal number 3 ka javaab - Jin Candidates ne old advt mein apply kiyaa thaa aur unki age limit ki eligibiloity thee, ve hee old advt se bhrtee ke liye eligible hain. (Ye koee bada badaa sawwaal nahin hai)
*********
Sawaal Number 5 ka javaab -
TET ko patrta pariksha maan kar jo bhrtee kee gayee hain , unka feslaa high court kee agamee sunvaee mein ho jayegaa.
Weightage kaee prkaar se dee jaa saktee hai, Jismen Jyada TET marks vaale ko seniority, TET marks samaan hone par jyada umar vaale ko seniority etc. dee jaa saktee hai.
*********
Sawaal number 6 ka javaab -
Sabhee Bhrteeyan TET merit se nahin hongee, Na Hee Ho saktee hain kyunki UPTET exam kaee baat ho chuke hain.
Ye jaroor ho saktaa hai ki TET Marks ko Selection Mein Weightage (eg 30-50%) Diyaa Jaaye.
sc 88 ka chance he kya. bhiy0 rply please.
ReplyDeleteShubh prabhat bhaio aap sabka din subh rahe iski kamana maa vindyavasini se karta hu.
ReplyDeletefull chance hai
ReplyDeletemale female art & science
ReplyDeleteki merit kaha tak ja sakti hai
general, Female , science, uptet me 116 gain kya chances hain plz tell me
ReplyDeletesonia ji aap log itne marks gain karke kya doosro ki majak tho nahi uda rahe ho
ReplyDeleteUptet main 117
ReplyDeleteAap log apnea apna jila likhen
ReplyDeleteI am from Agra
ReplyDeleteiss akal-less ko 72825 Mei 20000 seat aur add kar dene chahiye jisse iski bhi shan bani rahe aur ham logo ko bhi fayda mil sake
ReplyDeleteshyam mauraya ji beijjati uski hoti hai jiski koi ijjat hoti sp sarkar ki koi shaan ya ijjat nahin hai jo yeh apni shaan bachane ke liye academic walo ka kuchh bhala karegi
ReplyDeleteare bhaiya 2012 b.ed. + 2011 T.et ka kya hoga apply akhilesh govt
ReplyDelete