UPTET : Heavy Crowd of UPTET Candidates Collected in Lucknow for Anshan
3 week time over and today heavy crowd of TET candidates collected in Lucknow to know progress - When will Recruitment of TET Candidates start
See :
Charbag Station par ikatthe hote hue TET Candidates, Dhoop Paseene mein nahate hue apne haq kee ladaee ladte hue
*************
Charbag Station se Vidhan Sabha kee aur prstan karte hue TET candidates
****************
Tanker ka panee peete hue TET candidates
**************
Candidates did everything acccording to Government rules and NCTE Guidelines regarding RTE implementation.
Candidates want to know Government stand , and saying only culprits should be punished.
Advt. govt. ne nikala, bhartee govt ke niyamon se ho rahee thee va antim padav par thee.
Candidates (TET rank holde) lagbhag select ho chuke the va counselling karke appointment letter deeye jane baki the.
Par ab candidates anishitta ke mahol se ghir chuke hain. Aur ve govt. kee aage kee process janne ke leeye bechen hain - Ki Bhartee kab va kaise hogee.
Akhbaron mein sandeh bharee khabren aa rahee hain ki TET se recruitment cancel ho sakta hai.
Aur sarkaar ka koee spastikaran na aane se candidates bechen ho rahe hain ki ab unke bahvisye ka kya hoga.
Highcourt TET merit se bhartee ke favour mein pehle hee spast kar chuka hai - Kee TET Merit se bhartee niyamo ke vipreet nahin hai. Aur prkria ko achha bhee mana hai.
NCTE guideline mein saaf shabdon mein TET marks kee weightage selection mein dene kee baat kahee gayee.
Kaee TET candidates ka sochna hai ki jab 5 jilon se saare jilon mein aavedan ke leeye vigyapna sansodhit ho sakta hai to ab mamla kahan atak raha hai. (candidates in apna kafee saar paisa, mehnat va keemtee samay is bhartee mein laga deeya aur vo bhee saara govt. ke niymanusaar, to unkee kya galtee hai aur sarkaar akhbaar/news mein aa rahee bhramak khabron ko khandan kyon nahin kar rahee.
Kya TET se bhartee ab cancel ho jayegee, aur begunahon ko saja milegeee ya dosee adhikarion/candidates ko saja milegee. Sarkaar ka rukh kya hai TET candidates ke prati ?
**************
3 हफ्तों का समय अवधि पूरी हो चुकी और टीईटी अभ्यर्थी दोबारा से लखनऊ में इकट्ठे हो रहे हैं
उन को समझ नहीं आ रहा कि आये दिन अख़बारों के माध्यम से जो भ्रामक ख़बरें आ रही हैं - कि टीईटी से भर्ती निरस्त ही जायेगी या चयन प्रक्रिया में बदलाव हो जायेगा
और सरकार ऐसी भ्रामक ख़बरों का खंडन भी नहीं कर रही
पहले ५ जिलों से आवेदन वाले विज्ञापन में संसोधन भी हो गया था | पर अब विज्ञापन मामला कहाँ अटक रहा है |
अभ्यर्थी कह रहे हैं - कि उनकी क्या गलती , जैसा सरकार ने चाहा उन्होंने आवेदन कर दीया
कोर्ट भी कह चुका है कि टीईटी मेरिट से भर्ती नियम विरुद्द नहीं है व टीईटी अंकों से भर्ती को सराहा भी है
अभ्यर्थीयों ने अपनी मेहनत, पैसा व् कीमती समय इस टीईटी परीक्षा से भर्ती में लगा दीया उनकी क्या गलती |
जो लोग दोषी हैं - भ्रष्ट / बेईमान अधिकारी व् जिन अभ्यर्थीयों ने टीईटी अंक बढवाने में पैसा दीया , उनको दण्डित किया जाये |
चयन प्रक्रिया अंतिम दोर में थी , सिर्फ काउंसलिंग के जरिये नियुक्ति पात्र दीये जाने बाकि थे |
पर अचानक अख़बारों में भ्रामक ख़बरें व सरकार का स्पस्टीकरण न आने से अभ्यर्थी मानसिक तनाव से गुजरने लगे और उनके भविष्य पर काले बादल मंडराने लगे |
और अब वे पुन : लखनऊ में अपने हक के लिये एकत्रित हो रहे हैं , लगता है दोबारा से अनशन / धरना प्रदर्शन होने जा रहा है
Pics send through email:
hummmmmmmmmmmmm jiteeeeeeeeeeeeeeege.............. tet merit is best.............. hum jitenge ........................................................................................... jai hanuman ki ...........................
ReplyDeleteJos na thanda hone paye, kadam mila k chal, manjil tere pag chumegi , aaj nahi to kal...
ReplyDeleteTet morcha jindabad, na rukenge ,na jhukenge, bas aage hi badhte jayenge, aapne huq k liye sabse ladte jayenge.
CM ne 3 week ka samay manga tha jo ki 26 ko poora ho gaya,phir bhi hume kuch bataya kyo nahi gaya ?
ReplyDeleteSaathiyo is baar hum jeet kar hi ghar aayenge.
ReplyDeleteRakh hausala bo manjar bhi aayega, pyase ke pas chal ke samander bhi aayega. Thak ke n baith manjil ke musaphir, manjil bhi milegi aur milne ka maja bhi aayega.......best of luck all the tetions.
ReplyDeleteab achhi tayari hai/ ab hamaari baari hai/ apna hak ab lekar ke hi jayenge/ aisa abki baar sabhi ne thaani hai/ nahi karega koi ab atma hatya/ ab apne sangraam se dolegi satta/ nahi agar is baar hame naukri mili/ kaun jaane ham dale kar jaane kya-kya/ kisi tarah se ab nahi peeche hai hat ta/ nikal pada tet sang Veer Yodha..ab na kisi ke roke ruka tet/ kuchh bhi kar lo ab to jeet apni hogi/ SAABAASH SaathiYOO.JAY HANUMAAN JAY SHRI RAAM.
ReplyDeleteAb jeet pakki hai
ReplyDeleteSubah 10 am par etv up ne humari news dikhai thi
ReplyDeleteHum log rampur se nikal rahe he jame rehna shero
ReplyDeletePilibhit ke sabhi tet pass condidate apni jindgi se hi haramkhori kar rahe hain,2-4 ladko ke alawa koi bhi kisi bhi dharne me nahi aaya.
ReplyDeleteHume tet bhai /bhano par garab hai aaj dikhadia hai ki tetnes mein ab bhi ekta hai
ReplyDeleteLge raho is bar cm ke jhudhi bato me mt ana , apne fevr me likhit faisla lekr ana.jai tetians .god bless u.
ReplyDeleteLge raho is bar cm ke jhudhi bato me mt ana , apne fevr me likhit faisla lekr ana.jai tetians .god bless u.
ReplyDeleteAaaaa kraaaamaaaan...JAY HANUMAAN JAY SHRI RAAM.
ReplyDeleteAb hume aaswashan nahi balki niukti patra chahiye.......
ReplyDeleteDosto, aaj mai kisi karan nahi pahucha,lekin kal subah aa raha hoon.
ReplyDeleteKoi mujhe ye batao ki aaj kya hua ? Shasan prashasan se koi baat hui ya nahi?
Dosto, aaj mai kisi karan nahi pahucha,lekin kal subah aa raha hoon.
ReplyDeleteKoi mujhe ye batao ki aaj kya hua ? Shasan prashasan se koi baat hui ya nahi?
aisi dhoop me hamare bhai datye hai humko in par garv hai,
ReplyDeleteLege rho bhaiyon...agar gov. Tet par raji ni hoti hai toh ba+b.ed+tet ki acadmic merit ki dimand kijiye...
ReplyDeletedhrna khtam ho chuka hai ................. DIG asuthose pandey ......... 2may ko prtidhimandal ke sath batchit ke leye bulaye hai ...................
ReplyDeletedhrna khtam ho chuka hai ................. DIG asuthose pandey ......... 2may ko prtidhimandal ke sath CM ki batchit ke leye bulaye hai ...................
ReplyDeleteis news ka source kya h
ReplyDeleteconform kare
ReplyDeleteye log asli hero h.aise logo k karan hi aaj hum aajad h.
ReplyDeleteJee ha Dig k dabav me dharna khatam ho gaya hai, hum logo ne shayad 2 ya 3 din pehle dharna kar diya tha, hume 30 tak rukna chahiye tha.
ReplyDeleteYe news/info log ne facebook par update karee hai.
ReplyDeletePar aap log apne bhaiyon kee madad kyun nahin kar rahe ?
ALI UMRAN CHANDAUSI Sabhee tetians ko chahiye ki vidhansabha k samne itni crowd karden ki is government ko ye yaad aa jaye k ye sp in yuvao k karan hi power me aayee he or ye bhee sandesh ink bheje me jaye k yahi yuva government ko dhool me bhee mila denge .filhal umeed he k kal tak vidhan sabha k samne aaj k mukable kai guna bheed hogi .SO ALL TETIANS LETS GOTO LUCKNOW.
ReplyDeleteJab court bhi tet merit ke aadhar par chayan ko galat nahi bata raha hai.fir sarkar ko kya paresani hai? Agar sakar ko yah lagta hai ki tet me kuchh dhandali huyi hai to iska khamiyaja vah beksoor canditates ko kyon de rahi hai? yah to sarkar ki hi jimedari thi ki vah pariksha theek parkar se karati.Agar kuchh gadbadi hoti hai to begunah ko iskee saja kyon dee jay? jab tet exam ko cancle nahi kiya ja raha hai to tet se bharti chayan ko kyon cancle karne parvi charkiya jaraha hai.sakar is vigyapan ko cancle kar ke naye vigapan me tet ko samil nahi karegi kya ? to phir sarkar esa kyon karne jar rahi hai ? Kya sakar court se bhi badi hai?
ReplyDeleteHame Anna ki tarah shanti poorvak apne hak ki ladayee ladni hai. nishchit hi sarkar ko jhukna hoga. Jai hind ............
ji ha dharna end
ReplyDeletetet end
bharti end
ab pachtawo,
salo waha koi ja ke apni sankhya badha nahi pate yaha se sab ray dete hai.
Chup karo aur 1 rikshaw le lo wahi chalawo.
ji ha dharna end
ReplyDeletetet end
bharti end
ab pachtawo,
salo waha koi ja ke apni sankhya badha nahi pate yaha se sab ray dete hai.
Chup karo aur 1 rikshaw le lo wahi chalawo.
Dharna sahi tha isse govt. Ko ham logo ki awaj to sunai di hogi and vo sahi nirnya lege.
ReplyDeleteETV UP/UK PE 8 BAJE RAJDHANI PROGRAM
ReplyDeleteTET DHARNE PE REPORT DIKHAYI.....
bhaiyo mai abhi lucknow se aya hu.
ReplyDeleteaur aap sabhi logo se anurodh hai ki sabhi log apne gharo se nikal kal luk pahunche aur apne sathiyo ka hausala badhay.
glat afwao par mat jaye dharna khatam nahi huwa hai wah abhi chal raha hai.
afwaho par mat jao mard bano aur apne gharo se nikal kar lucknow chalo.
mai kal subha lucknow phir se jaunga aur aap sabhi log chalay.
jay tet
jai bharat
Lucknow chalo
ReplyDeletebhaiyo mai abhi lucknow se aya hu.
ReplyDeleteaur aap sabhi logo se anurodh hai ki sabhi log apne gharo se nikal kal luk pahunche aur apne sathiyo ka hausala badhay.
glat afwao par mat jaye dharna khatam nahi huwa hai wah abhi chal raha hai.
afwaho par mat jao mard bano aur apne gharo se nikal kar lucknow chalo.
mai kal subha lucknow phir se jaunga aur aap sabhi log chalay.
jay tet
jai bharat
bhaiyo mai abhi lucknow se aya hu.
ReplyDeleteaur aap sabhi logo se anurodh hai ki sabhi log apne gharo se nikal kal luk pahunche aur apne sathiyo ka hausala badhay.
glat afwao par mat jaye dharna khatam nahi huwa hai wah abhi chal raha hai.
afwaho par mat jao mard bano aur apne gharo se nikal kar lucknow chalo.
mai kal subha lucknow phir se jaunga aur aap sabhi log chalay.
jay tet
jai bharat
bhaiyo mai abhi lucknow se aya hu.
ReplyDeleteaur aap sabhi logo se anurodh hai ki sabhi log apne gharo se nikal kal luk pahunche aur apne sathiyo ka hausala badhay.
glat afwao par mat jaye dharna khatam nahi huwa hai wah abhi chal raha hai.
afwaho par mat jao mard bano aur apne gharo se nikal kar lucknow chalo.
mai kal subha lucknow phir se jaunga aur aap sabhi log chalay.
jay tet
jai bharat
ek muhim rajniti se gandagi hatane ki chalni chahiye.
ReplyDeleteLKO PAHUCH KAR ANSAN KA FAISLA SAYAD JALDI KIYA GAYA,HUM KO CORT K NIRNAY TAK TO INTJAR KARNA CAHIYE THA. TAB HUMARI SANKYA KUCH AUR JYADA HOTI
ReplyDeleteTO MUSKAN PLZ DISPLAY ETV UP/UK KI PHOTO BAS 10 MIN ME APK PAS MAIL PAHUCH RAHI...PLZ
ReplyDeletePLZ WAIT 10 MIN MUSKAN BHARAT BAS MAIL AA RAHI HAI...
ReplyDeleteImran chandausi
ReplyDeletehume 30 ko dharna or majbut karna he
TO MUSKAN PLZ DISPLAY ETV UP/UK KI PHOTO APK PAS MAIL PAHUCH GAYI... PLZ
ReplyDeleteDISPLY BEFORE SLEEPING ITS MY REQUEST MAM...
.Gaye the gangajal peene ,pee ke aaye chidiya ka moot....dig k kahne par dharna khatm kr dia...subah ding mar rhe the ki usmani k niche kisi se baat nhi krenge...
ReplyDeleteDikkkkaaaar hai tum jaise netritv kartawo ko...
Frnds ghabrane ki jarurat nahi, dharna khatam hua hai, jidagi nahi. Hum phir ayenge lekin is baar poori taiyari k sath.
ReplyDeleteUnki aise ki taise kar dalege agar khud barbaad hue to maja dosro ko bhe marne nahi dege
ReplyDeleteSala pagal bana ke chodne chale hi
Sab united raho sarkar ho ya koi bhe neta ab hamara faisla nahi kar sakta ki merit isse banao ya usse
Inko to pata bhe nahe hoga ki ncte hai kya
.Gaye the gangajal peene ,pee ke aaye chidiya ka moot....dig k kahne par dharna khatm kr dia...subah ding mar rhe the ki usmani k niche kisi se baat nhi krenge...
ReplyDeleteDikkkkaaaar hai tum jaise netritv kartawo ko...
kam se kam 01-05-2012 tak kramik anshan aur uske baad apne paksh me faisla aane tak sabhi tetians ka halla bole dharna pradershan jisase kanoon vyavastha ke saath C.M. bhee hawa me ur jaye aur kanoon vyavastha darasai hote hee samvidhan ke antergat rastrapati shasan lag jay tabhee nispaksh TET kee merit se bharty hogi.
ReplyDeleteMera tet leaders se anurodh hai ki agli bar agar hume dharna ki jarurat pade to jaldbaji me koi date fix na kare, aur core commette pehle se decide kar le kis point par aakar hume rukna hai.
ReplyDeleteWaise aaja ka ghatnakram kya raha anshan hit raha ya flop koi natija niklta dikh raha hai kya isse
ReplyDeleteBahre kano tak aawaz pahuchi ya nahi
Let's wait till 30
Gov. Tet radd krna chahti hai aur aj ka pradarshan ka buri tarh se fail ho jane se ab usko bal mil jayega.,aur niukti jaise chahegi vaise karegi kynki hmare netritwkarta kayar avw darpok hain...hm haar gye.
ReplyDeletedosto lage raho yadi gov. Tet par raji nahi ho rahi hai to usako b.a.+b.ed+tet par raji karao
ReplyDeleteek sarv many hal yah v ho sakta hai. Tet ki ank ka 20 fisdi aur b.a aur bed ke divisan par yathochit ank dekar merit baya jay. Example 1. first divison par 12 ank. Senkand div. Par 10 ank. Aur third div. Par 8 aknk dekar banaya jay.
ReplyDeletehs aur inter me acche marks nahi hai kya?
ReplyDeleteFurqan ali chandausi
ReplyDeleteBahut saare leader ko NCTE kya RTE ya PRT ki full form malum ho Bhi dur ki baat hai or to or rashtra gaan or rashra geet tak me antar nahi malum hoga
chale hain kamine desh ki waag dor sambhalne
hindustan ka future
english medium ke haathon soupna chahte hain
bahut saare eng medium stdnt ko yeh nahi malum hoga k
32 ko hindi me kya kehte hain
to bachchon ko yeh kya khak sikhayenge
hs+inter+ba+bed+tet50+se merit banai jay
ReplyDeleteA K RAI KASIA
1-Agr acam merit gov lgati hai toh gudank par aadharit ho....
ReplyDelete2-agr gudank ka merit nhi bnati hai toh snatak+b.ed+tet ki hi merit bnaye...
Purani prakriya par adharit merit ekdam bakwas hai...
ReplyDeleteblogs per kuchh logon ke farji aur bhramak coments aur khabre aa rahi hain jisase savdhaan rah kar akal se kaam lena hai aise log nakalchee aur failier hai dharna aur anshan safal hai bharty TET kee marit se hee hogi isase koi samjhauta nahee iske alawa yadi koi kuchh sonchta hai to vah moorkh hai khuda usko sadbuddh de. M.Ahmad
ReplyDeleteimandaree isee me hai ki jis shart per rajya sarkar ne aavedan manga tha usee shart va niyam se bharty ho. anya niyam keval bhrastachar karne ke liye banana chahte hain. M.Ahmad
ReplyDeleteHamare neta koi pesewar neta nahi hai ki prasasan ki dhamaki ko najar andaj karke apne carr.daw par laga de. Unke sthan par koi hota to wahi karata. Jinhe objectio ho, age se netritw kare.Aj jab tetians apane haq k lie luck. Nahi ja pa rahe hai, we neta wahi dera dale hue hai. Ninda karana sabase asan hai.
ReplyDeletekuchh bhi ho dosto, bharti aur t.e.t.radd nahi honi chahiye basss.
ReplyDeletehaame 30 ko h.c. K faisle ka wait karna chahiye. nhi to fir s.c. Me pil file karenge.
Deleterespected a.k rai sir g yadi mere vicharo se apko ko kast hua ho to chhama prarthna chahta hu. Rahi bat hs aur inter ki to apko bata du ki mera yah mera nitant niji vichar tha. Hs aur inter me cbse,patrachar aur nakal ke dwara 90 fisdi ank lana koi bari bat nhi hai, fir v mere vicharo se apko thes laga ho to chhama mangta hu. Sorry sir g.
ReplyDeleteare dubey ji , aap ek baar acd. Morcha ki rally lucknow me bulaye, ho sakta hai isse jyada bheed ho jaye.
ReplyDeleteTo muskan bharat g Thanks for display my photos. plz display my name on my mail photo. Kyoki ye jaruri hai me ofc ki waja se nhi ja paya jis se koi ghar pe baith ne ka aarop na laga paye yeh mera yogdan hai ... plz disply my photo separete post with my name plz plz plz sathi tana de sakte hai...
ReplyDeleteMujhe ye samjh me nahi arha hai ki aise bich me dharna khatm karne ka kya matlab?ye kuch logo hamari zindagi ka faisla kaise kar lete hai?abhi hamare bahut se bhai bahan raste me hai dharna sthal pe pahuch rahe hai.ye toh majak bana diya gya...
ReplyDeleteAur ye kuch log khud bahut samjhdar bante hai ki merit aise ho waise ho jaye...arey murkho merit me koi bhi sashodhan hua to iska matlab vigyapti radd fir loksabha election se pahale kuch nahi hoga aur fir ham aise mohre bane rahenge.baat meri ki hai nahi baat yaha hai vigyapti bachane ki...
Vigyapti ka mukhya adhar TET merit hai wusi adhar par form jama hua hai usme thodi si bhi chhedkhani bina vigyapti radd kiye nahi ho sakta itni si baat samjh me nahi aati aur log salah dene lagte hai aisa ho jaye waisa ho jaye..B.A ho jaye B.ed ho jaye...khud cufuse raho aur llogo ko karo...
Mai TET ka favour isliye nahi kar rha ki mera TET me marks achchhe hai balki isliye kar rha hun tabhi vigyapti bachai ja sakti hai...
Ab kripa kar k kuch log apna dimag kam use kare aur logo ko gumrah na kare...
jo nakal se high school aur inter pass hua ho usko jyaada no. diye jaye aur jo akl se TET me jyada no. laya ho use sabse kam no diya jay kyo ki aaj ke brasht dour me bhi wah nakal nahee kar sakta to jindagee me kyaa karega aur primary me bachho ko nakal karne ke gun kaise sikhaayega. NAME-:bhrust, nakalchi, moorkh, failier,gadaha,neta, neta ka akalmand chaploos.
ReplyDeleteJo log dharana sthal par nahi gae unhe is nirnay par koe tippni karane ka koi naitik adhikar nahi hai.
ReplyDeleteCAUSE LIST ALLAHABAD
ReplyDeleteAdvance Cause List
30/04/2012
COURT NO.33
As a first case
WRIT - A
1. DF 76039/2011 YADAV KAPILDEV LAL BAHADUR ALOK KUMAR YADAV
RAJESH YADAV
Vs. STATE OF U.P. & OTHERS C.S.C.
K.S. KUSHWAHA
WITH WRIA- 76355/2011 SARASWATI SRIVASTAVA SAROJ YADAV
Vs. THE STATE OF U.P. AND OTHE C.S.C.
-RS C.N.TRIPATHI
R.A.AKHTAR
WITH WRIA- 76392/2011 SHIVANI ABHISHEK SRIVASTAVA
Vs. THE STATE OF U.P. AND OTHE C.S.C.
-RS RAJEEV JOSHI
C.N.TRIPATHI
WITH WRIA- 76595/2011 SABA ANJUM & OTHERS INDRASEN SINGH TOMAR
AMIT KUMAR SRIVASTAVA
Vs. STATE OF U.P. & ANOTHER C.S.C.
K.S. KUSHWAHA
WITH WRIA- 1442/2012 VASUDEV CHAURASIA & OTHERS RAVINDRA PRAKASH SRIV.
Vs. STATE OF U.P. & OTHERS C.S.C.
AKHILESH KUMAR
R.A. AKHTAR
WITH WRIA- 75392/2011 VIJAY KUMAR TRIPATHI & ANOTHER AJOY KUMAR BANERJEE
Vs. STATE OF U.P. & OTHERS C.S.C.
K.A. USMANI
WITH WRIA- 2614/2012 MAHESH CHANDRA BHUPENDRA PAL SINGH
Vs. STATE OF U.P. & OTHERS C.S.C.
S.S. BHADAURIYA
WITH WRIA- 2608/2012 MOHD. SADAB SYED IRFAN ALI
MOHD. NAUSHAD
Vs. STATE OF U.P. & OTHERS C.S.C.
ILLEGIBLE
WITH WRIA- 6826/2012 VIMLESH KUMAR ALOK KUMAR YADAV
Vs. STATE OF U.P. & OTHERS C.S.C.
R.S. PRASAD
R.A. AKTAR
Jab TET merit par heigh court ne mohar laga di
ReplyDeleteJab exam se pahale ye bata diya gaya tha ki TET hi chayan ka adhar hogi
Exam dene ke baad jab result aya aur kuch log class 5th ka quetion paper solve nahi kar sake to ab wo TET ka virodh karne lage...
Mujhe toh samjh me nahi aata aise logo ko sharm nahi aati...
Agar itna hi aap sahi thhe toh exam me baithne se mana kar diye hote...
Tabhi heigh court me jakar exam rukawa diye hote..
Exam me fail pass laga rahta hai fail hone k baad apna atm chintan karna chahiye na ki negative soch k base par achchhhe marks paye logo ka virodh
Furqan ALi
ReplyDelete30 tak ka wait he karna warna
warna
fir banenge 2.72 lacks Anna
Dosto pareshan mat ho na ap log teachers hai wo sikhate hai ki fail ho ne pe nirash nhi hote kamiyabi pa ne k liye fir se mehnat karo ...pass ho na hi hai dosto next time ap sab delhi jantar mantar pe aao kyoki yeh centeral hai yaha media pe pressure bhi nhi rehta or 65 percent salry central dega or state govt dhiyan nhi de rahi...
ReplyDeletedharna khatm ho chuka h, main dharna sthal se laut rha hu, Dig k anurodh aur cm se milne k aaswashan par hm logo ne filhaal anshan khatm kr dya h, lekin aap sbhi logo se guzarish h ki agar koi bhi result hm logo k against jaata h to dogune josh k saath dobaara aandolan krenge aur tb tk ladte rhenge jab tk hme manzil nhi mil jaati. Jai hind jai tet
ReplyDeleteKyo nhi hai 72825 padon par tumhari niyukti hogi kya...kisne kaha dharna kro ansan kro....bolne ka hak sbko hai.
ReplyDeleteMohammad Shakeel
ReplyDeleteyes Rashid bhai u r right
agar faisla hamare haq me nahi aata he to hume PIL dalni chahiye or
anshan jantar mantar par hona chahiye
waise to insha Allah
faisla hamare haq me hi aayega..
kya dharna kal bhi jaari rahega?
ReplyDeletecm ko jawaw dena chaiye
ReplyDeletejeet humari hogi. jarurat hai hausala banaye rakhne ki.
ReplyDeletebe positive yaar. sarkar ki manmarzi k khilaaf court ka rasta khula hua hai.
Dont be desperate.every thing is in our favour.see sc decision.govt can not change three point of any vacancy if declared. Age,process of selection and criteria of selection.other grounds can be changed and amended advert can be released again. On this decision there is no threat to our vacancy.so dont be so worry but be active at ground level .we are in court to save our life.
ReplyDeletebharti tet merit per hi honi chahiye...90 percent process complete ho chuki hai...yani ki teer kamaan se nikal chuka hai...uper wala hamare hi sath hai kyon ki hune galat to kuch bhi nahi kiya hai na...bharosa rakhen ki der jaroor ho gayi hai per andher nahi hogi....mujhe yakin hai aap sab tetians ke hausale ko salaam...be a little patient court ke raste hamesha khule hain...jeet hamari hi hogi....ek baar court hamare paksh me faisal degi phir dekhenge ki sarkar kya karti hai,,,,,
ReplyDeletesab achcha hi hoga ...merit tet ki hi banegi.....sabhi tetians ka yakeen daanv per laga hai.....god is with us....amin sumaamin
Hello its me Gyanesh .and above comment is written for those who are worry for today strike.dont discard your leaders. They have tonnes of pressure .try to back them up instead of rebuke.after all we have also need of job as you.so its not our failure.but one thing is clear. Govt is at back foot.nothing is going against yours.
ReplyDeleteNOTICE @ NOTICE @NOTICE every body is cordially requested to please search a supreme court decision about BIHAR teacher recruitment that there are three points that can not be changed in any vacancy once released by govt that is 1_age,2 process of selection and 3 criteria of selection.no doubt this decision is going to be boon for us. So friends search this decision and mail me at gyanesh.dev @gmail.com.we have urgent need of it and time is less in our hand.say others to search it vigorously.PLZ DO IT INSTEAD OF POKING COMMENT ON FACE BOOK.HURRY UP.ASK YOUR LINK IF RELATED TO BIHAR.
ReplyDeleteIsi tarahe hume ab lage rahena hai sabhi tet bhaiyon aur baheno ka dharne pe aane ke aur saath dene ke liye dhanyawaad@ab hum jaroor kaamyab honge@
ReplyDeleteetv p tet k news dikhai gai h dosto media ne hmara sath diya hm jrur jeetenge.
ReplyDeletey kya h koi khta h k anshan start h koi khta h khtm ho gya shi news update kre plz qk kuch log aaj sunday holiday k karn is ansn me aa rhe h .
ReplyDeleteansan samapt ho gaya hai. 2may ko cm se mulakat hogi.
ReplyDeleteJAI MA BHARTI AJ HUM BHI APKE SATH HAI
ReplyDelete2 may ko kam se kam 40-50 hajar tet pass loga lucknow aana. Agar cm kaval aaswasan de to ugra andolan karenge. Siksha mitron ne ugra aandolan kiya tha aur jeete.
ReplyDelete2 may ko hajaron ki sankhaya me lucknow aao.
ReplyDeleteDharna khatam ho gaya kya?
ReplyDeleteDharna khatam ho gaya kya?
ReplyDeleteDharna khatam ho gaya kya?
ReplyDeleteFriends agar 15-20 may tak kuch spashat nahi hota hai to ye bharti es sal bhi pura ho jaye to badi baat hogi kyoki nikay chunav ki adhisuchana 15 ya 20 may tak jari ho jayegi aur nikay chunav june me hi hoge matlab saf ki may aur june 2 mahine/60 din hame phir wait karna padega.
ReplyDeleteDear Friends,kya ye confirm hai ki decision 30 ko aa jayega.
ReplyDeleteBihar Govt. va Highcourt ke order ko Supreme Court ne palat deeya tha, Mene vo news blog par daal dee hai.
ReplyDeleteJismen SC ne purane vigyapan se hee bhartee ke leeye kaha tha
UPTET Lucknow Station Video (28th April 2012):
ReplyDeletehttp://www.youtube.com/watch?v=kkBLpXy0IXw
Dosto isee tarah se lage rahana ha , hame yah nahi sochana ha ki kitani bar lucknow jana ha . Hame hazaro bar lucknow jana ha jab tak ki hamara laksha hasil nahi ho jata ajadi ki ladae me kaye bar andolan asthagit kiya gaya tha or punah chaloo kiya gaya ,so koe nirash na ho @ abhi to ye agaraye ha aage or ladai ha / puri film abhee baki ha /sataymev jayate ,jai hind /hame sp me bhi jana ha,bihar me isee tarah ka nirnay me old bigayapan par muhar lagi thee/ akjut rahe
ReplyDelete