/* remove this */ Blogger Widgets /* remove this */

Wednesday, March 28, 2012

CBSE versus UP Board Acadmic Marks Weightage


CBSE versus UP Board Acadmic Marks Weightage

See
Ministry of Science and Technology
Department of Science and Technology
INSPIRE Scholarship



Percentage Cut-off Marks# of Various State-Boards Result in class XII for
2008, 2009, 2010, and 2011



2008
2009
2010
2011
UP Board
69.2
72.6
77
77
CBSE
91
92.4
91.8
93.2
ICSE
93
93.3
93.2
93.43


You can see easily a difference between UP Board Marks and Other Board Marks.

Some years back (10-20 years ), UP Board Pass percentage was very low, And that time difference is very high between UP Board Marks and other board marks.

However I am NOT oppsing any board, but justify the stand of common examination. Additionally I felt
multistage examination can be a good option to select right candidate. As it happens Rajasthan.

Teacher Eligibility Test (TET)  for UP PRT is an aptitude examination for Primary Teachers and Not a selection of Scientists. If somebody is genius then their are many places where he/she can utilize his/her skills.
Many organizations (Railway, Bank, Defense , SSC Central Govt., CSE ) take aptitude examinations as per their requirements.

 In UP PRT Teacher Process was already decided and any change can make a longer (indefinite period as we don't know if matter goes in court then how much time it takes for decision.) time in selection.

58 comments:

  1. vacancy tet merit se hi honi chahiy......but govt. kya karti hai...dekte h

    ReplyDelete
  2. abhi tak cm ne to bharti karne ka bhi aashwasan ni diya hai.......bharti kaise hoga ye to baad ki baat hai

    ReplyDelete
  3. aap a bhool rahi hai ki cbse board wale adhik matra me MBA/MCA/BCA/NIFT/B.TEC, etc diploma course karate hai jab ki up board wale hi b.ed. karate hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. b.ed karke 20-30 hazar ki naukari karenge ya mba mca karke 5 hazar ki?btc me bhi to ye log hi aa rahe hai..bina kam kiye 1000 ka bhatta k liye mara mari hai..20-30 hzar k liye b.ed nahi karenge?

      Delete
  4. 30 ko lucknow jrore pehuchana hai kisi k behkave n aaye

    ReplyDelete
  5. fir a data dikha k kya show kana chahati hai? BTC me jisi ko appatti nahi huai jab gov. merit bana rahi thi, sala mera to backword jila hai aram se exam me 1 seat maar leta per sala ...

    ReplyDelete
  6. maine pochha tha ki luckno me kya karana hai yani hamari kya mange hai??? koai to bataye aap sabhi log janate hai ki teacher claass room me jane se pahale sabhi objectives ko declere kar leta hai

    ReplyDelete
  7. koai a nahi kahega ki tet ko cancel na kare kyo ki jab gov aisa kuchh karani nahi chahati hai to faltoo me kahoge to gov samajhi ki abhi dar hai ain sab k ander

    ReplyDelete
  8. Good evening Dear Friends,
    friends agar vastav me aap kuchh karna chahte hai to mere pass bas ek hi tarika hai..... 30 march ko jo log jayenge ve ye n soche ki hamara anashan kewal ek din matlab 30 march ko hi hoga friends chahe hame 30 rukana pade 31 rukana pade ham rukenge aur jab tak hame koi cm se likhit aashwasan na mile hame lko se ghar nahi aana hai.friends aap kya sochate hai yadi maine galat kaha to please bataye kyoki mere hisab se bas ek yahi tarika hai.

    ReplyDelete
  9. bina uddesh k baruta ek kadam v nahi chal sakata kyo ki wah teaching model flow karata hai

    ReplyDelete
  10. bhai yadav aap hi bataye lucknow me hame kya karana hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. baruta sir ye hamare president log tai karenge ki lko me shantimarch nikalana hai ki bhukh hadtal karni hai barahal es baar hame boriya bistar,rashan pani etc lekar jarur jaana padega kyoki gov. ek din me nahi manegi ho sakta hai hame kuchh din aur rukana pade.

      Delete
  11. Friends ab tak to yahi hota tha ki gov. ye bharti puri karna nahi chahti hai lekin ab tet &acd ke chakkar me ye baat badal gayi hai ab ham khud bharti karana nahi chahte hai friends hame lucky samajhana chahiye ki sp gov. abhi kewal acd ke base par bharti ki baat kar rahi hai wahi agar sp ke sthan par bsp rahti to kab ka tet swaha ho gaya hota.

    ReplyDelete
  12. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  13. ravikant baruta ko nahi janate aap, aap chahe to aaj v 2-4 b.ed. collage ka serve kar le ki b.ed. kis board k student adhik karate hai, baki b.tec / mba ko mare goli

    ReplyDelete
  14. a add cancel ho gai hai kyo ki ab sarakari vakil ne sashan ki error maan li hai aur ab new fresh aad nikalega new rules se.

    ReplyDelete
  15. ab double bench me v koai nahi jaa sakata kyo ki gov sarender bol chuki hai

    ReplyDelete
  16. ab fir se new dd banane ki taiyari kijiye aur haa ho sakata hai ki gov k error ki vajah se sab dd k paise wapas ho jaye ya new aadd free me dalane ki azadi ho

    ReplyDelete
  17. baruta ji mai aap ki baato se sahmat hun b.tech,bba,bca course karne wale student btc me to select ho ja rahe hai lekin ve b.ed nahi kar rahe hai yahi sach hai mere pass aise bahut example hai.

    ReplyDelete
  18. Baruta yas ek baat to manni
    padegi u r very inteligent

    ReplyDelete
  19. @blog editor
    aap ki baten tarksangat hai,har koi is bat ko aasani se samjh sakta hai ki process ek bar agar decide kar diya gaya hai to use beech me change tab tak nahi kiya ja sakta jab tak decide kiye gaye process me kuch 'gadbadi' ya 'dhandali' na hui ho......
    Apka blog jankario ka ek achcha sangrah hai,isliye mai aap se janna chahta hu ki-
    -B.t.c.2004 ka selection base entrance exam predecide tha par bad me 2009 me academic merit ke adhar par bharti kis niyam ke tahat kiya gaya aur ise challenge kyo nahi kiya ja saka
    -KVS 2011 PRT/tgt selection base ka pre decide format Preliminary exam,main exam and interview tha,par process ke beech me main exam ko cancel kar ctet ki merit par selection kar interview liye gaye,ise challenge kyo nahi kiya ja saka

    ReplyDelete
  20. mukhyamantri ji ne kab bulaya hai?

    ReplyDelete
  21. Tet ki fikar karo nadaa,
    Musibatein aane wali hai,
    Na sambhloge to mit jaoge ae tet walo,
    Tumhari dastaa tak na hogi dastaano me.

    So 30 ko Lucknow chalo
    .

    ReplyDelete
  22. bakawas band add khalash ho gaya hai tab sara lafada hi saaf ho jayega fir se new rules k tahat bharti hogi

    ReplyDelete
  23. @ Mr. "." BTC 2004 ka mujhe details mein nahin pata, KVS ke baare mein pata hai.

    Par mein aapko batana chahtee hoon , Higher authority ke rules lower authority par override karte hain.

    Aur jarooree nahin hai kee jo rules decide kiye gaye hon, vo badle nahin jaa sakte.
    Normal practice mein rules follow kiye jaate hain.

    Aapat Kaal (Emergency ) ke Samay Samvidhnik / Constitutional rights bhee cheen liye jaate hain.

    ReplyDelete
  24. NCTE ne jo guidelines RTE (shiksha ka adhikar ) ko lekar dee vo constitutional hai.

    Jis din se vo effective huee (jis date se), automatically vo sabhee jaghe usee date se effective ho gayee.

    Isleeiye sabhee ko usko manne ko badhy hona pada.

    ReplyDelete
  25. @blog editor
    yani agar govt.chahegi to valid reason ke sath process ko beech me change kar sakti hai?

    ReplyDelete
  26. NCTE ne jo guidelines RTE (shiksha ka adhikar ) ko lekar dee vo constitutional hai.

    Jis din se vo effective huee (jis date se), automatically vo sabhee jaghe usee date se effective ho gayee.

    Isleeiye sabhee ko usko manne ko badhy hona pada.

    ReplyDelete
  27. State Govt. se oopar Central Govt. / Loksabha hai.

    Aur RTE ke implemenation ko lekar jo guidelines dee gayee unko bypass karna mushkil hai.

    TET Jarooree hai, TET marks ka weightage jarooree hai.

    Aap ek latest Supreme court ka decision is blog par pad sakte hain.
    Jismein state govt. ne Advt. corrigendum ke dwara badal deeya, Lekin Highcourt / Supreme Court ne usmein Guest Teachers ko extra marks dene ko galat bata deeya.

    ReplyDelete
  28. @blog editor
    Ncte ki guidelines ke anusar bina tet qualify kiye aap prt nahi ban sakte par kvs ne jo kiya wo to galat tha kyoki pahle predecide format ko follow nahi kiya gaya jab ki Ncte ne ye nahi kaha tha ki aap main exam mat karwaiye...aur fir tet kewal qualifying exam tha jabki kvs ne uske merit par interview ke liye call kiya ,jisse kai hajar students bina kisi reason ke preliminary aur tet qualify karne ke bad bhi bahar ho gaye

    ReplyDelete
  29. Mr. "." KVS ne advt. pehle hee nikal deeya tha.
    Us samay CTET qualified B. Ed holders
    eligible the,
    Agar NCTE ka ullangan hota, tab to mushkil hotee.

    Lekin KVS ne CTET qualified logon ko hee bhartee kee hai, Agar koee rule bypass hua hai to bataeeye

    ReplyDelete
  30. @.said
    mr kvs mein main exam ki jagah ctet ko consider kiya gaya hai jisme pele main exam ka 80% and interview ka 20% judta tha isliye yadi unhone vacancy ke saapeksh saat gune candidates ko bullaya hain jinke interview ke number jodkar merit mein aane ki sambhavana hai .lekin u.u. maadyamik mein to bina written qualify kiye tatha bina interview ke selection hone ki baatein saamne aayee hain.

    ReplyDelete
  31. Kvs ke advt.me ctet ka koi jikra nahi tha,Ncte ke guidelines par pre exam ke bad may 2011 me sabhi candidates ko ek letter gaya ki apko Ctet bhi qualify karna hoga,par ye nahi bataya gaya ki ctet ki merit par hi call kiya jayega,
    yahan kvs ne Ncte ke rules to mane par apne advt.ke format ko change kar diya ,ye galat tha

    ReplyDelete
  32. @blog editor
    kvs ne jo bhi kiya usse ye clear hai ki jarurat padne par selection authority beech me bhi selection process change kar sakti hai

    ReplyDelete
  33. mere bhai ncte ki guidelines ke mutabik koi bhi candidate apne tet score ko improve karne ke liye next time appear ho sakta hai aur wo tabhi appear hoga jab use isse teacher appointment me laabh hoga jabki tet ke weightage ki baat to tet ka form bharwaate time hi batta di gayi thi isliye har candidate ne ise main exam ki tarah hi liya tha na ki sirf qualifying ki tarah

    ReplyDelete
  34. @tet mitra
    bat ncte ki guidelines ya tet ke waitage ki nahi ho rahi hai,
    mera mudda ye hai ki pre decide process me kya beech me koi change kiya ja sakta hai?

    ReplyDelete
  35. Mr. "." KVS ne jo kiya, kiya lekin apne rules ko paltana aasaan nahin hota.
    Uske leeiye majboot aadhar hona chahiye aur Constitution ke rules tootne chahiye.

    Aur kahin niyam badal jaaate hain, to fir court kee Constitutional prkriya mein log chale jaate hain.
    Fir saalon case chalte rehte hain.
    Kee kisne galat keeya.

    ReplyDelete
  36. KVS apne vigyapan ko palat deta to bhrtee mein mushkil ho jaatee.

    ReplyDelete
  37. teacher recruitment mein NCTE ki guidelines follow hoti hai kvs ne RTE ki ki new guidelines ko follow kiya kyoki yadi koi complaint woh ncte ke base par hogi aur ncte rule making constitutional institution hai.

    ReplyDelete
  38. @blog editor
    mai aapse yahi janna chahta hu ki kya kvs ko court me challenge kiya ja sakta hai?

    ReplyDelete
  39. mr '.'
    pehle apna name theek kar kya tere gharwalo ne tujh par full stop laga ke sadak par chod diya..
    Jo tera naam .(dot)... Hi reh gaya.
    Chal pehle name theek kar phir koi comment dena samjha.

    ReplyDelete
  40. Somebody uses name "Editor" , However I have NOT deleted his/her comments, but suggest him , choose another name.

    People may confuse.

    ReplyDelete
  41. muskan ji....plz dnt mind..shayad apko jankaari nahi hai...kvs me ctet k base par candidates shortlist kiye gaye na ki select kiye gaye....jaise k ibps exam n sare exam me ek cuttoff nikala jata hai....aur usk bd interview hua n...final salection..pre + ctet+ interview...k adhar per merit banegi....to final selection ctet par base nahi hua...n 4 ur knd information...kvs is autonomous body....vo jaise chaiye recruit kr skata hai...lkn phr bhi usne candidates shortlist kiye...aur ye bt hum log s.c k advocate se bt kr chuke hai....

    ReplyDelete
  42. Mr. "." Agar KVS ne Constitutional rule ko toda hota to mushkil ho saktee hai.

    Constitution is supreme.

    ReplyDelete
  43. pre decide process mein changr rare condition mein ho sakta hai kyonki kvs ki recruitment 2012 me ho rahi hai aur teacher ki bharti me aur delay na ho is karan goverment ne ctet ke base par hi recruitment jaisa decision liya hoga.isi tarah uttar pradesh me bhi 90% work tet ki merit ke aadhar par ho chuka hai bus govenment ke fair decision ki deri hai aur students ko qualified teacher ek mahine ke andar mil sakte hai bus government vote bank ki politics chhode to.

    ReplyDelete
  44. AUR FRNDZ....mr. baruta ne galat nahi kaha....max. cbse wale ye prt k naukri k liye rukte hi nhi....aur fir agar jo log agar ate bhi hai..to unki hgh merit se paresan kyo hai...apk mulayam sarkar k bhi hgh merit wale bhi hai...n imp thng..k max.up board wale fail hai tet me...n cbse wale pass kyonki education quality cbse schools me badhiya hai...up board me bht ache schools hai..jaha k bacche aj ias..iit..haai...lkn unki sankhya bht kam hai...phr up board aj bhi purane rules ko follow kr raha hai..aj bhi vaha universe me 9 planet hai...jabki ab kewal 8 hai....to bt board k nahi...uski quality k upar hai...phr bhi...kisi board k bt an kare...mjhe maluma hai k yaha jitne bhi log hai..apne nxt gen ko convent school me hi padhana chayegi...koi apne baccho ko prathmik vidaylaya me nahi padega....so dnt take otherwise....isme sabse sahi tet merit hai..koi board k chakkar nahi.....jo ache hai vo is exam me ache marks laye hai....vo bt alag hai k shyad yaha cbse wale bhi apko mil jaye..kyonki max cbse students r passed in ths simple exam n got gud marks.....chk kr lijiyega.....

    ReplyDelete
  45. maine kaha na k koi constitution toda hi anhi gaya...ncte k accrdng kaam kiya gaya...ctet k basis par shortlist kiya gaya lkn joining nahi de di...marks teeno k jode jayenge...n atleast itna to commensense hai k shortlist n selection me bhut fark hota hai.....haa agar kewal ctet k basis par joining de deta tb galat hota...

    ReplyDelete
  46. amitji pre to quaifying tha to uske marks kyo jode ja rahe hai jabki other exam me pre ke marks nahin jode jaate

    ReplyDelete
  47. ab pre nahi raha usko ab written exam k naam de diya gaya....bcz kvs is autonomous body.....on the performence of written n ctet u will cal on.......ye language thi...

    ReplyDelete
  48. up mein ctet ki 3000 vacancy kis adhaar par bhari jaane ki sambhaavana hai.

    ReplyDelete
  49. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  50. ye antar lucknow university, kanpur university, fijabaad university ki marit me bhi hai in ka dhyan diya jana chahiye...

    ReplyDelete
  51. lucknow university ki merit aanya university ki apecha bahut hi kam rahti hai...

    ReplyDelete
  52. are bhai is naye vigyapan me vishay varg ka to option hi nahi hai

    ReplyDelete
  53. 30 ko lcknow chalne ka uddasay kya hai ?

    ReplyDelete

Please do not use abusive/gali comment to hurt anybody OR to any authority. You can use moderated way to express your openion/anger. Express your views Intelligenly, So that Other can take it Seriously.
कृपया ध्यान रखें: अपनी राय देते समय अभद्र शब्द या भाषा का प्रयोग न करें। अभद्र शब्दों या भाषा का इस्तेमाल आपको इस साइट पर राय देने से प्रतिबंधित किए जाने का कारण बन सकता है। टिप्पणी लेखक का व्यक्तिगत विचार है और इसका संपादकीय नीति से कोई संबंध नहीं है। प्रासंगिक टिप्पणियां प्रकाशित की जाएंगी।